Taraweeh Namaz Ki Suruat..? Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se - TopicsExpress



          

Taraweeh Namaz Ki Suruat..? Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein tashreef le gaye aur wahan taraweeh ki namaz padi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya phir dusri raat mein log pahley se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath namaz padi. Dusri subah ko aur zyada charcha hua to teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (us raat bh) namaz padi aur logo ne aapki pairwi ki, Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi ( magar us raat Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz ke liye bahar hi nahi aaye) bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namz pad li to logo ki taraf mutwajja hojar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam is duniya se rukhsat ho gaye to uskey baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padtey rahey ) Sahih Bukhari, Vol 3, 2012
Posted on: Wed, 24 Jul 2013 18:01:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015