Tera rung aisa chadh gaya Koi aur rang naa chadh sake Tera naam - TopicsExpress



          

Tera rung aisa chadh gaya Koi aur rang naa chadh sake Tera naam seene pe likha Har koi aake padh sakey Hai junoon hai junoon hai Tere ishq ka ye junoon hai Rag rag mein ishq tera daudta Yeh bawraa sa khoon hai Tune hi sikhaya sachchaiyon ka matlab Tere paas aake jaana maine zindagi ka maqsad Satyamev... satyamev... satyamev jayate Sachcha hai pyaar tera, satyamev jayate Tere noor ke dastoor mein Na ho salwatein na shikan rahe Meri koshishein toh hai bas yahin Rahein khushbooein gulshan rahe Teri zulf suljhane chala Tere aur paas aane chala Jahan koi sur na ho be-sura Woh geet main gaane chala Tera rang aisa chadh gaya Tha nasha jo aur bhi badh gaya Teri barishon ka karam hai ye Main nikhar Gaya main sanwar gaya Jaisa bhi hoon apna mujhe Mujhe ye nahin hai bolna Qaabil tere main ban sakoo Mujhe dwaar aisa kholna Saanson ki iss raftaar ko Dhadkan ke iss tyohaar ko Har jeet ko har haar ko Khud apne iss sansaar ko Badloonga main tere liye Mujhe khud ko bhi hai tatolna Kahin hai kami to hai bolna Khahin daag hain toh chupayein kyon Hum sach se nazrein hatayein kyon Khud ko badalna hai agar Badloonga main tere liye Sholon pe chalna hai agar Chal doonga main tere liye Mere khoon kee har boond main Sankalp ho tere pyaar ka Kato mujhey to too bahe Ho surkh rang har dhar ka
Posted on: Thu, 15 Aug 2013 09:56:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015