Tu kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofaan utha - TopicsExpress



          

Tu kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofaan utha denge mere saath na chal Pahle hak tha teri chahat ke chaman par mera Pahle haq tha teri khushbu-e-badan par mera Ab mera pyaar tere pyaar ka hakdaar nahi Main tere gesu-o-rukhsaar ka hakdaar nahi Ab kisi aur ke shaano pe hai tera aanchal Main tere pyaar se ghar apna basaun kaise Main teri maang sitaron se sajaun kaise Meri kismat mein nahin pyaar ki khushboo shaayad Mere haathon ki lakiron mein nahin tu shayad Apni takdeer bana mera mukaddar na badal Mujhse kahti hain ye khaamosh nigaahein teri Meri parvaaz se unchi hain panaahein teri Aur ghairat-e-ehsaas pe sharminda hoon Ab kisi aur ki baahon mein hain baahein teri Ab kahaan mera thikana hai kahan tera mahal Tu kisi aur ki jaagir hai aye jaan-e-ghazal Log toofaan utha denge mere saath na chal
Posted on: Tue, 17 Sep 2013 18:06:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015