Tumhari neeyat ki paymaish us waqt hoti hey jab tum kisi aisay - TopicsExpress



          

Tumhari neeyat ki paymaish us waqt hoti hey jab tum kisi aisay shakhs kay sath bhalai karo jo tumhein kuch bhi na dey sakta ho. Mola Pak IMAM HUSSAIN (A.S)..:) frendz jis terhan tamam amaal ka inhesaar niyaatoun per hai useeh terhan woh KHUDA pak bhi burai aur bhalai ka concept hamare dil yaani niyatoun se derj kerta hai.. Hmara her amal woh janta hai k kisliye, kiyun aur kis bat k hasool k liye hai.. as a student research k mutabiq duniya k scholars kehtay hain insan saari zindagi pedaish se lekar mout tak sirf 2 maqasid k liye kosesh kerta hai 1 apne faideh k liye aur 2nd nuksan se bachne k liye.. major divisions k baad society mein survive kerne k liye kuch kaam kisi se der ker kerta hai, ya pher lalach mein mager jo kaam in k sab k liye na hoon irfaan k liye hoon Haq tak pohnchne k liye yehi kaam marifat ki manzil tak lejatey hain pher jab insan ko haq ki rah nazer ati hai aur rah e khuda per chalta hai toh khud ba khud apne dil se muhabat e makhlook khatum kerke us KHALIQ ki muhabat aur muarifat pata hai bas yehi idealogy kisi ko pehchanne k liye kaafi btae hai IMAM PAK A.S ne k deekho insaan aam torh per bhalai unhen k sath kerta hai jinse kuch hasil ho jahan maqasid poore hote houn mager insan waha pehchana jasekta hai uska dil , uski nature kia hai seerat pak wahan nazer ati hai k jahan uske dil mein derd paya jae woh unke sath bhi bhalai kare jahan kuch hasil na zahiri torh per ish dour mein bhi aam feham mein logo ko pehchana boht mushkil hogaya hai her aek insan k uper jhoot ki boht se layerz hoti hain toh asliyat tab pata chalti hai k jab insan dhooka ya bhalai pata hai .. MOLA PAK ALI A.S irshad fermatey hain k duniya tumhen tumhare dil se nhe pehchan sekti yahan expression zaruri hain mager KHUDA PAk hamen hamari niyaatoun se janta hai .. Momineenz sab k liye positivity rekhyeh nd niyat saaf zarur rekhyeh mager niyat ko perakhne ka paimaana rekhyeh k insan hai ya janwar q k janwar serf khud ko dekhta hai haqeeqi insan mein dusron ka derd shamil hota hai .. Mola pAK IMAM ALI a.s kufe ki hakumat k bawajood rat mein apna bhaes badal ker yateemoun ko khana khilane jaya kerte thae toh Momineenz har amer kurbatan ALLAH k liye kijea k bas teri makhlooq hai logo ne inka haq mara hai zulm kea hai bhalai kerta hun inke sath toot te howe dilon ki dawa bana kijea pher ish amal mein ager koi apka dil bhi dukhaega toh KHUDA pak apke nusrat aur dawa karega.. koi link nhe mager bohat pasend hai yeh quote, socheaga zarur Momineenz k kesi marifat ka haq adah kerne ki philosphy di hai MOLA PAK A.S fermatey hain .. mein teri ibadat na toh jannat ki lalach mein aur na hi dozekh k der se kerta hun,, mein toh tujhe hi ko ibadat k laiq samjhta hun .. MOLA PAK A.S abaad rekhen ap sab MOMINEENZ ko :)
Posted on: Mon, 03 Feb 2014 17:48:57 +0000

Trending Topics




© 2015