Twacha Aur Kesh Nikhar Twacha Twacha hamare shareer ks bahri - TopicsExpress



          

Twacha Aur Kesh Nikhar Twacha Twacha hamare shareer ks bahri aawaran hai. Twacha gori ya kali ya phir sawali hi kyun na ho uska saaf aur chamakdar hona sundarta ka prateek hota hai. Janma ke samay twacha narma tatha dag rahit hoti hai, kishorawastha evam yuwawastha tak iska nikhar charam seema ij hota hai. Par bachapan se yuwawastha tak pahuchte-pahuchte shareer ki bahri banawat ke sath-sath antarik kriyayon, khastaur par harmonal kriyaon me bahut adhik pariwartan ate hain jiska asar twacha par bhi padta hai. padne-likhne tatha kamkaj ki bhag-dod main log twacha ko andekha kar dete hain. Par twacha ki dekhbhal karna bahut awashyak hai. Twacha paanch prakaar ki hoti hai-Swastha, Rukhi, Tailiya, Samvedansheel aur Mishrit. Swastha twacha sarvashreshtha hoti hai jisme nami tatha tail ka sahi santulan hota hai. Rukhi twacha mai tail aur nami dono ki kami hoti hai jis par badam, jaitun ya chanadan ke tail yaa achche moishchariser lagana chahiye. Gharelu upayon dwara rukhi twacha ko swastha rakha ja sakta hai. Tailiya twacha achchi twacha mani jati hai jo hamesha chamakti rahti hai lekin adhik tail nikalne ke kaaran chehre par bade-bade dane yaa black heads ho jate hain jinka kaaran rom chchidro main fansi gandagi ka bahar na nikalna hota hai. Is tarah ki twacha ko miled soap se din main 4-5 baar dhona chahiye aur samay-samay par bhaap lena chahiye, saath hi starched face apck lagana chahiye. Samvedansheel twacha komal tatha bahut nazuk hoti hai jis par kisi bhi tarah ki alergy ki sambhavna bani rahti hain. Is tarah ki twacha walo ko khaan-paan aur rasaynik creams ka sabhal kar prayog karna chahiye. Mishrit twacha matlab ek hi chahre ke alag-alag bhagon main rukhi tatha tailya twacha ka hona. Aise chahre par rukhi twacha par alag aur tailya twacha par alag face pack lagaaka twacha ki dekhbhaal kee jati hai. Dr. Rajeev Sharma ne is pustak main umra tatha jeevan ki vibhinna awasthaon main twacha par padne wale prabhavon ke bare main bataayaa hai. Is pustak main twacha ki dekhbhaal ke liye prakratik upcharon ke saath-saath homeopath tatha yog dwara upchaar ki vidhiyan bhi batai gaeen hain. Rasoi-ghar se kan kharh wale chamatkarik prayog bhi batlaye gaye hain. Baal Is pustak main twacha ki dekhbhaal aur twacha rogon ke upchaar ke alwa balon ke bare main achchi jankari dee gai hai. Dr. Rajeev ne is pustak main bataya ki baal do tarah ke hote hain :- Anazal Baal jo badte rahte hai lekit jhadte nahi hai, aur Talozen Baal jo ek khas lambai aur awadi tak badte hain us ke baad jhad jate hain. Baal kerotin namak proteinyukt padarth se bante hain. Sebaceous gland naamak granthi, jo baloon ki jadon mai hoti hai, dwara baloon ko chiknai milti hai. Is granthi ki prakriya main gadbadi ke kaaran baloon rookhe aur bejan ho jate hain. Baloon mai kai tarah ki beemariyan ho jati hain, jaise ganjapan, baloon ka adhik jhadna, joon padna aadi. neem ke prayog se baloo ki beemariyon se chchtkara paya ja sakta hai. Achche aur chamakdaar baal vyaktitva main chaar chand lagaa date hai. Isliye baloon ko swasthya raknne ka sabse achcha upay he unhe saaf rakhna. Dr. Sharma ne is pustak main yeh bataya ki baloon ko kis tarah se shampoo tatha condishoning kee jaye. Unhone rukhe, samanya tatha tailya ballon ke liye alag-alag tarah ke shampoo ke bare main bhi likha hai. Dr. Rajeev ne Twacha Aur Kesh Nikhar me yah bataya ki kis mausam main baloon ka kis tarah se rakh-rakhaav kiya jay. Is pustak main joon hone par, ganjepan, safed baal adi ke liye ayurvedic tatha gharelu upayb
Posted on: Thu, 21 Nov 2013 02:51:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015