Waleed bin mugheera ko Allah ne buht nawaaza tha…be intheha - TopicsExpress



          

Waleed bin mugheera ko Allah ne buht nawaaza tha…be intheha daulat di thi…aulaad se nawaza tha jo uske paas hee rehte thee uski nazron ke saamne..be intheha zaheen shkhs tha be intheha ZAHEEN..Nabi Kareem se jab milne gaya to Nabi s.a.aw ki baton par ghor karke socha ke Nabi ki baatein saari sach malum hoti hein (kiun k zaheen tha).. magar sach jaanne ke bavahood eman nahi laya aur sachai jaane ke bavajood logon ne jab pucha to kaha kaha ke ye saara jadui batein (maaz Allah)..kehta tha Nabi s.a.aw. se ke aap kuch baatein apni manvaaen aur kuch baatein dusron ki maan len .. is shks k saath kia hua is bare me Allah ne Surah Mudassir me farmaya he..yani isko aazab milega..(Detail Quran tafseer se dekh lein)… kehne ka maksad ye hai ke itni aqal itna paisa, auladein hone k bavajood jab insaan iman na laae balke haq jaane ke bavajood sach tasleem karne ke bavajood koi imaan na laae sirf is vaja se ke uski chodrahat qaaim rahe to usse bara ghareeb aur jahil koi nahi hota.. takreeban yehi haal hamara aur hamare hukmurano ka hai aur baaz Ullema e karam ka bhi (mazrat ke sath) ke hum haq baton ko tasleem karne ke bavajood aur islam ko manne ke bavajood Quran aur hadees ka aik aik lafz manne ke bavajood na hee apni zindagioun me sacha iman laate hein naa is mulk aur qaum k liye islami nizaam chahte hein..aur yehi karte hein jesa Waleed bin mugheera ne kia ke kuch baat to (jo mtlub ki ho) islam ki maanlete hein aur baaki kufr ke nizaam ko gale lagate hein..
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 11:17:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015