Waqt hamein kis mod par le aaya hai.yeh kaisa hai imtihaan jisme - TopicsExpress



          

Waqt hamein kis mod par le aaya hai.yeh kaisa hai imtihaan jisme humpar itna sitam dhaya hai.hum nahi jante kuch iss baare mein zindagi mein meri kaisa sailab aaya hai.jisme beh gayi hamari sab umeeday aur gham aur tanhiye ko humne galey lagaya hai.apni iss pareshani ko khuda tere siva kisse bayan karein hum kuch bhi na samajh tera yeh bandha paaya hai.apni samajh de iss bandhe ko o mere khuda aur sahi raah par chala varna yeh tera bandha barbadi ke bahut kareeb aaya hai.yeh kareebiyan mere liye khatah na ban jaye kahin isliye tera yeh bandha apni dil ki hasrat lekar tere darr par aaya hai.apne darr se tu mujhe khalli nahi lautayega iss yakeen se tera yeh bandha tujse apna dard bayan karne aaya hai.rakh khuda mere sarr pe hath takin mein na ho jau kabhi barbad aur mujhe mere gunahon ke liye tu maaf karde jo bhi khatah hui hai mujse un khatayon ko sudarne ka mujhe ek mauka dey.
Posted on: Sun, 08 Sep 2013 21:07:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015