beetay dinon k dasht se aati sada hoon main ujrray gharon main - TopicsExpress



          

beetay dinon k dasht se aati sada hoon main ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main hoon to tere jism ka saya hi kia hua bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o dar kuch yoon tere khayal main ddooba hua hoon main
Posted on: Tue, 06 Aug 2013 21:27:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015