hamare desh ko azad huaye 67 saal hogaye hai, hamara desh 15 - TopicsExpress



          

hamare desh ko azad huaye 67 saal hogaye hai, hamara desh 15 august 1947 ko azad hua tha, mujhe bohat khushi k aaj k din hamara desh azad hua tha, hamare desh ki azadi k liye sawtantra senaniyo ne bohat khoon bhaya hai hame un sare sawtantra senaniyo k adar krna chahiye na jane kitne din jailo mai kate hai jaise Gandhi Ji, Maulana Abul Kalam Azad, Ashfaqullah Khan, Bhagat Singh, Chandr Shekhar Azad or bohat sare senani hai jin ki qurbani hame nahi bholna chahiye, Bhagat Singh ek bohat hi delare Sawtantra Senani the Bhagat Singh ek yuva the, wo bohat hi kam umar mai hi desh ki liye kuch krna chahte the. Aj k din me un sare nam anam, gyat-agyat amar saheedo ko sradhanzali arpit karna chahta hu jinke athak prayaso se aj ham ajadi ke khule akash me saans le rahe hain. Aj bhale he ham keh rahe hain ki ham ajad hain swatantra hain lekin satya to yah hai ki ham kewal angrejo se he swatantra ho paye hain. Brastachar aur rajneeti ki beriyo ne hame buri tarah jakad liya hai. aj sara desh brastachar me buri tarah se duba hua hai. Sare rajneta kewal vote bank ki rajneeti karte hain. Desh aur uske vikash k bare me koi sochne ko taiyar he nai hai. Aj is manch k madhyam se me bas ye he sandesh dena chahuga ki yadi ap sabhi bharat ko aasli mayno me swatantra dekhna chahte hain aur ek brastachar mukt bharat ki kalpna karte hain to sabse pehle apne ap ko sudhare aur apne ap ko brastachar mukt banaye. Aj yadi bharat ka pratyek admi apne ap ko sudharne ka pran kare to he ham ek sahi mayno me swatantra bharat ki kalpana kar sakte hain. Inhe sabdo k sath apne sabdo ko viram deta hu . Jai Hind
Posted on: Tue, 13 Aug 2013 16:43:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015