imam vivasvate yogam proktavan aham avyayam vivasvan manave - TopicsExpress



          

imam vivasvate yogam proktavan aham avyayam vivasvan manave praha manur iksvakave bravit evam parampara praptam imam rajarsayo viduh sa kaleneha mahata yogo nastah parantapa sa evayam maya te dya yogah proktah puratanah bhakto si me sakha ceti rahasyam hy etad uttamam prabhu krsna arjuna ko yeh batate hai ki ke iss yoga yani bhagavad gita ko sungod mathlab surya dev ko bataya gaya tha.aur surya dev ne gita ko apna putra manu ko samjhaya.aur manu ne gita ko apne putra iksvaku ko bataya.aur issi tarah parampara se ek speaker ke baad dusra, iss yoga system chala aa raha hai.lekin kuch samay ke baad yeh parampara thoot gayi.isliye prabhu krsna ko phir se gita ko sunana pada.arjuna ko kurukshetra ke yuddh bhumi mai. krsna kehte hai arjuna ko ki woh iss supreme secret ko arjuna ko isliye bataya kyun ki arjuna krsna ka bahut bada bhakt hai aur krsna ka dost hai.isliye bhagavad gita tho ek devotee yani bhakt ke liye hi likha gaya hai. transcendentalits yani spiritualists mai 3 vibhaag hai 1. jnani yani impersonalist 2. yogi yani meditator aur 3. bhakta yani devotee jnani mathlab woh log jo yeh maante hai ki krsna yani god ka koyi roop nahi hai , woh formless hai.lekin krsna ka tho apna ek roop hai golok mai. 2 hathon wale basuri ko pakde huve krsna. yahi hai krsn aka original roop aur krsna bahut saare cows ko charane ke liye vann main le jaate hai.inn gayon ko surabhi kehte hai. yogi maane jo meditation karte hai krsna ki nahi balki anya devi devtaon ki ya phir brahmanda ki bhakta maane devotee jo krsna ko mann se pyaar kare aur bhakti lutaye krsna ke upar. prabhu ne arjuna se yeh kaha ki woh arjuna ko apni parampara ke pehla member bana rahe hai.yeh parampara new wala hai . iss parampara ko shuri karne ki kya zarurat thi?. kyunki old parampara thoot gaya tha.isliye prabhu ne new parampara shuru ki aur unhone iss new parampara ke liye arjuna ko chuna kayi saare bhakton mai se.yeh new parampara wahi hai jo prabhu ne surya dev ko bataya tha aur parampara se kayi saare logon tak pahuch raha tha. prabhu yeh chahte the ki arjuna leader bane iss new parampara ki tho isliye ham dekh sakte hai ki bhagavad gita ko arjuna ko bataya gaya kyun ki arjuna prabhu ki ek devotee hai,direct student hai prabhu ki aur intimate friend hai krsna ki.intimate mathlab close hai. isliye bhagavad gita ko wohi samajh sakte hai jinme arjuna ke qualities hai.mathlab usse direct relationship mai honi chahiye krsna ke saath. jo bhi prabhu ke devotee bann jaate hai woh prabhu ke saath direct relationship mai bandh jaate hai.
Posted on: Fri, 29 Nov 2013 08:40:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015