muche yad hai kuchh sal pahle jab srilanka mein koi prakritik apda aayee thi, wanha ki cricket team apna videshi daura radd kar ke apne desh laut gayee thi aur pradarshni match khelkar dhan jutaya tha.....eek apni team hai Champion trophy jitne par kanha ye use uttarakhand ki iss dukhad ghatana ko dedicate karte....ulte khushiya mana rahe hai..koi (Virat) ganganam style dance kar rahe ho to koi bhangara.....eek srk hai jo pakistan mein badh aati hai to chariti karta hai....lekin yanha ke liye apni film ke promotion mein laga hai.....aur ham Indian inhe hero banake sar ankho par rakhte hai.....kya inki koi responsibility nahi......desh ke liye samaj ke liye...........sachhai ye hai sena ke anam (jinhe koi janta bhi nahi) jawan hai asli hero....jinhone apni jan ki parwa kiye bina nishwarth logo ki sewa mein jute hai.....aaj rahat karya ke dauran sena ka helicopter hua durghatagrast....kai jawan huye shahid......unhe sat sat naman..... eek hamare pm mahoday hai...pakistan mein apda ayee to khuleyam hamare tax ke paise lutate firte...aur wo kamine hamari bipatti mein sahanubhuti ke do sabd to dur...balki iss samay hamare jawano par hamla karta hai...(kal srinagar mein huye hamle mein hamare jawan mare gaye)......
Posted on: Tue, 25 Jun 2013 17:08:42 +0000