ummate Muslima k zimme do fareezey hain.Amar bil maaroof yani neki - TopicsExpress



          

ummate Muslima k zimme do fareezey hain.Amar bil maaroof yani neki ka hukum dena aornahi anil munkar yani burai se rokna.aap kisi ko namaz parhne ko kahain ya rozey rakhne ka mashwara dain woh bura nahin manega magar aap zara kisi k hath se sharaab ka peyala chheen kar tordain to phir dekhain woh kaise react karta hai.Burai se rokna bahut dil gurdey ka kaam hai.aor isi k nateejay mein dandey goliyan aor qaedoband ki saubatain bardaasht karni parti hain.aaj ki dunya mein mafhoom badal geya hai burai se rokne wala dahshatgard thahra.Bahut barey challenge ki baat to main nahin karungee magar yeh zaroor kahungi k agar ham sirf apney ghar mein burai ko rokne ki koshish karain to kia maasherey se buraiyankam nahin hongee.Allah k Nabi S A W ne farmaya burai ko hath se roko agar iski ahliyat na ho to zabaan se roko aor iski bhi salahyat na ho to kam az kam dil mein bura jano aor yeh Emaan ka kamtareen darja hai.Agar yeh bhi na karsako to iska matlab k dil mein emaan hi nahin.Dil mein bura janne mein bhi aik logic hai k aap agar kisi cheez ko bura samjhaingey to usse khud ko bachane ki koshish karaingey.
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 04:12:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015