10) Allama Arshad-ul-Qadri Allah Ta’ala Ne Huzoor Azhari Miyan - TopicsExpress



          

10) Allama Arshad-ul-Qadri Allah Ta’ala Ne Huzoor Azhari Miyan Ko Zabardast Maqbooliyat Di Hai, Aisi Maqbooliyat to Dekhne Mein Nahi Aai, Dekho to Sahi Ke Azhari Miyan Ko Mukhtalif Jagah Progaram Mein Jana Tha Ranchi Airport PerUtre Phir Bazariya Car Fulaa’n Jagah Pahunchna Tha Magar Ranchi Mein Unse Milne Ke Liye Hazaro Mai-Kasho’n Ki Bheed Jama Ho Gayi Thi, Jab Ke Ranchi Mein Rukna Na Tha, Sirf Wahaan Se Guzarna Tha, Magar Aanan Fanan Mein Itne Logon Ka Jama Ho Jana Badi Baat Hai, Maloom Hota Hai Ke Koi Dusari Makhlooq Logon Ke Kaano Tak Baat Pahuncha Deti Hai, Aur Aanan Fanan Sub Jama Ho Jaate Hain, ( Raawi Mufti Aabid Hussain Noori) 11) Allama Mohummed Mushahid Raza Khan Hashmati Faqeer Haqeer Ne Kitab Banam “Tie Ka Masla”(Musannifa Huzur TajushShariah) BaGhour-O-KhojMutala Kiya Apne Dalayel Ke Lihaaz Se Woh Fatwa Kisi Ki Tasdeeq Ka Mohtaj Nahi Fir Bhi Imtishal-e-Amr Ke Liye Faqeer Tasdeeq Kerta Hai ( Tie Ka Malsa) 12) Allama Khawaja Muzaffar Hussain Razvi Hazrat TajushShariah Ne In Ahem Mubaahis Ka Siles Urdu Zubaan Mein Aisa Barjasta Tarjuma(Al-Motaqid) Farmaya Hai Ke Tarjuma Hi se mafhoomWaze Ho Jata Hai Uske Bawajood Ja Baja Paicheeda Masayel Ki Aisi Uqda Kashai Ki Hai Ke Be Ikhtiyaar Zubaan se Nikal Padta Hai Ke Yeh Aalahazrat Aur Mufti-e-Azam Ke Faiz Se TajushShariah Hi Ka Khaasa hai (AlMotaqid =P46) 13) Allama Abdul Hakeem Sharaf Qadri huzoor TajushShariah Se Hazrat Ke Rawabit Bahut Gehre The Safar-e-Pakistan Ke Mouqe Per Walid-e-Girami AlehiRehma Se Masayel-e-Shariya Per Sanjeeda Mahoul Mein Guftagu HuaKerti Thi, Hazrat Walid-e-Maajid Huzur TajushShraih Ke ilm-o-Fazl Fiqhi Baseerat Aur Hadees Daani Ke Motarif The (BaRiwayat Doctor Sudedi) 14) Mufti-e-Azam Rajisthan Allah Rabbul Izzat Ne Hazrat Allama Mufti AkhtarRaza Qadri Azhari Madazillahul Aali Ko BeShumarFazayel Aur Manaqib-e-Jaleelah Se Nawaaza hai, Main aapke Ilm-o-Fazl Hizm-o-Ittiqa Tasneefi Fiqhi Tableeghi Khidmaat Se Bahut Mutaasir Hoon, Arbi Adab Mein Aap Huzoor Hujjat-ul-Islaam Hazrat Allama AsShah Mufti Hamid Raza Khan Qadri Alehirehma Ke Par-to hain, Neez Huzur Sayyudna Aalahazrat imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ka Aap Per Khusoosi Faizan Hai Jiski Waaze Nazar Yeh Hai Ke “Asia Europe” KiBuland Aahang Chotiyo Per Aap Ki Azmato Ke Parcham Lehra Rahe Hain, Aur Aap Ki Ilmi Jalaalat Wa Shakhshi Wajaahat Ke Aage Bade Badon Ke Sar Khameeda Nazar aate Hain ( Ma’arif-e-Mufti-e-Azam RajisThan-P383) 15) Musannif Tasaaneef-e-Kaseerah Hazrat Allama Faiz Ahmed Owesi Hazrat TajushShariah Ne Al-Motaqid Ka Tarjuma Farmaya Faqeer Ne Sa’adat Samjh Ker Kitab-e-Mazkoor Ka Mutalaa Kiya, Usse Se Faqeer Ilmi Tor se Khoob Mustafeed Huaa Faqeer Yaqeen Or Nihayat Wasooq Se Arz Kerta Hai Ke Awaam Ke Liye to Aqayed Ke Muaamilat Mein Bila Shubah Yeh Tarjuma Shareef Rehbar Wa Haadi Hai Lekin Olma e kiram ke Liye Bhi Behtareen Dastawez hai (Al-Motaqid-P52) 16) Mufti Abdul Lateef Saheb Qibla Faqeer Ne Kitab ka Urdu Tarjuma Kahin Kahin Se Mulahiza kiya, Al-Humdulillah JaNasheen-e-Mufti-e-Azam hind TajushShariah Hazrat Allam Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Madazillahul Aali Ne Badi Arq Rezi Se Yeh Tarjuma Farmaya Hai, Yaqeenan Huzoor TajushShariah Her Hawale se Apne Aaba Wa Ajdaad Ke Sachche JaNasheen Hain, Allah Ta’ala Unka Sayaa Ahlesunnat Per Daraaz Kare Aameen (Almotaqid P-66) 17) Hazrat Allama Abdullah Khan Azeezi Hazrat Allama Wa Moulana Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Saheb Qibla Madazillahul Aalu JaNasheen-e-Huzur Mufti-e-Azam hind AlehiRehma Ke Risla-e-Mubarika Banam “Tie Ka Masla” ke Mutala Ka Sharaf Hasil Hua Huzur Mufti-E-Azam Ka Fatwa Aur Hazrat Musannif Allama Ke Dalayel Wa Baraheen Se Ahqar Ko Inshiraah-e-Sadr Hasil Huaa Ke Tie Ka Istemal Kerna NaJayez Wa Haram Hai Musalmano Ko Aihtaraz Kerna Chahiye (Tie Ka Masla P41) 18) Moulana Sayed Owes Mustafa Waasti Faqeer Qadri Ko JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam hind Hazrat Allama Azhari Miyan Saheb Qibla Se Baraha Mulaqat Ka Sharf Hasil Hota Rehta Hai Yeh Mulaqat Wa Raabte Direenah Ta’alluqat Ke Bayes Hain Jo Khanqah-e-Bilgiraam Aur Khanqaah-e-Bareily Mein Hamesha Se Raha Hai, Mousoof Ko Khaanwada-e-Razviyat Mein Woh Maqam Hasil Hai Ke TajushShariah Aur Qazi-ul-Quzaat Jaise Aala Khitaab se Yaad Kiye Jaate Hain (Al-Motaqid-P43) 19) Allama AbunNasr Khaleefa-e-Huzoor Qutub-e-Madeenah Hazrat Allama Akhtar Raza Khan Saheb Khandan-e-Aalahazrat Ke Fazil Mohaqqiq Hain Jinke Faizan Se Eik Zamana Mustafeed Wa Mustafeez Ho Raha Hai Ab Ahlesunnat Ka Yeh Fareeza Hai Ke Wo Is Kitab Ka Mutala Kar ke Usse Dusaro Tak Pahunchane ki koshish Karein (Al-Motaqid-P55) 20) Mufti Naeem Akhtar Naqshbandi Lahori Huzoor Mufti Akhtar Raza Saheb Ka Ilmi Maqam Ka Kiya Kehna Iss Kitab Ke Baare Mein Sirf Itna Kahunga Ke Yeh Kitab Hazrat Ke Arbi Adab Per Maharat Ki Daleel Hai, Aur Yeh Kitab Sabit Kerti Hai Ke Aap Waqa’ee JaNasheen-e-Mufti-e-Aazam Hain (Al-Motaqid-P58) 21)Allama Syed Alvi Maliki JaNasheen-e-Mufti-e-Azam Allama Mohummed Akhtar Raza Khan Azhari Qadri Bareilvi Damat Barakatuhumul Qudsiya 1988 Mein Jab Hajj-o-Ziyarat Ke Liye Tashreef Le Gaye to Allama Syed Mohummed Alvi Maliki Ne Apni Tasneef Kerda Kitabein Inayat Farmaai Aur Bahut hi Qadr-o-Manzilat Ke Nazar se Dekha, imam Ahmed Raza Qadri Bareilvi Ke Pote hone ki Haisiyat e Aur Huzur Mufti-e-Aazam KeJaNasheenKi Wajeh se Bahut Izzat Afzaai Farmaai Aur Duaaiya Kalimat se Nawaza (Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa p-517) 22) Mahir-E-Razviyat Hazrat Allama Prof Mas’ood Ahmed Mazhari Us Imam Ahmed Raza Ke JaNasheen Unke Parpote Allama Akhtar Raza Khan Azhari Hain Bade Muttaqi Aur Aalim-e-Ba-Amal, 1983 mein Pakistan Tashreef Laaye, Az-Raah-e-Karam Ghareeb Khane Per Bhi Tashreef Laaye, Eik Arbi Naat Ki Farmaaish ki, Qalam Bardashta Ussi Waqt Likh Di, Usse Andaza Hota Hai Ke Arbi Zubaan ne Imam Ahmed Ke Gharane Mein Ghar Ker Rakha Hai Yeh Ussi Gharane Ka Imtiyaaz-e-Khaas Hai (Ujala-p26)
Posted on: Sun, 14 Jul 2013 18:34:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015