17-18 Oct. 2011 ko Jaipur ke kukas mein RSACS ki taraf se ek state - TopicsExpress



          

17-18 Oct. 2011 ko Jaipur ke kukas mein RSACS ki taraf se ek state level workshop hui thi, jahan Rajasthan ke sabhi districts ke blood bank incharge aur medical officers aaye hue the. Main wahan bhi photography hi kar raha tha. Manch ka sanchalan Dr. Rajaram ji kar rahe the. 18 ko maine sabke saamne ek geet ke sath apni baat kahne ki ichchha zahir ki, Lekin Dr. Rajaram ji ne mana kar diya. Main shukraguzar hun Sh. Sanjay Gupta ji ka, jinhone aage badh kar mike mere hath mein diya aur abhivyakti ka mauka diya. 5 minute bhi nahin hue the ki Dr. Rajaram ji ne samay kam hone ki duhaai dete hue mike mere hath se chheen liya tha, lekin un 5 minuton mein Photographer Prashant,Prashant Blood Donor ban chuka tha, aur wahan maujud sabhi ke dilon mein jagah bana chuka tha. Maine wahan khud ke raktdan par likhe hue geet ki prastuti di, jo ki aaj poore hindustan mein meri hi aawaz mein record hua hai aur motivation ke liye istemaal kiya ja raha hai. Mujhe abhi aur sangharsh karna hai. Aap sabhi ka sath chahta hun.....
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 15:37:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015