20 saal pehlay ye song may nay suna tha magar mujhey nahi pata tha - TopicsExpress



          

20 saal pehlay ye song may nay suna tha magar mujhey nahi pata tha keh ye ek esi haqeeat byaan kar rha hay jo mujhey maut kay dahanay par la kar khara kar day gii. Mujhey bari adat hay logon say sacha or be loss pyaar karnay ki magar logon say pyaar kitna mehga par sakta hay iska mujhey jab andaza hua jab mayray exhusband nay mujhko isliyay talaaq tika di kyunkay may ussay bohot pyaar karti thii or vo ek pyaar karnay vaali bivi nahi chahta tha . Uski talaaq mayray dil may uski chahat khatam na kar saki to mujh ko cancer samaith dher saari bemaarion nay khana shoro kar diya . Agar mohabbat ye sab hii karti hay to bohot hii khatarnaak cheez hay. Ksi ko bhi dil say pyaar karnay ka matlab hay maut ki janib safar. Ye mohabbat jo ham insaanon say kartay hen itna jee laga kar tan man dhan say ham bohot hii ghalat kartay hen or ham ko apnay aap ko issay bachana chahyay .............. Dunya may jitna bhi qatal o gharat hay , aansoo hen , bemaarian hen vo ksi na ksi insaan ki mohabbat create kar rahi hay nafrat nahi ... Isi liyay Allah ka Naam mohabbat nahi , hub nahi , mehboob nahi , ashiq nahi mashooq nahi . Allah in tamaam khofnaak sifaat say Maavra hen jo insaani sifaat may aati hen - Kisi ki nafrat ham ko itna shadeed nuqsaan nahi ponhcha sakti jitna keh mohabbat or ye bohot hii fast killer hay . Kaash keh ham log is haqeeqat ko samjhen or zindagi may iski talaash or ismay sukoon or khushi hasil karnay kay bajae ham apna dhyaan Allah kay kaamon may guzaaren to mohabbat kay bhyanak chehray or iski khofnakion say bach saktay hen .......ye vo self destructive device hay jo hamesha onn honay ko tayyaar rehti hay or pata nahi kab jaan lay lay ....... Islam vo deen hay jiska bunyaadi vasf mohabbat nahi haya hay . Haya vo cheez hay jo ham ko khatarnaak mohabbaton kay nuqsaan say kisi zara baktar ki tarha bachaati hay .........koi bhi insaan ksi doosray insaan ki sachi mohabbat ka poora javaab nahi day sakta or aksar insaan mohabbat karnay vaalon ko shadeed saza daytay hen or nuqsaan ponhchaatay hen ............ye mayriii zindagi ka tajurba hay .............Sachi mohabbat ka javaab sirif Allah day saktay hen . Insaan na qadra hay vo sirif isko insult kar sakta hay or uskay liyay sirif ye ek esa word hay jiskay peechay log har burai or tabaahi kar jaatay hen .............Pakistan may dehshatgardi ????/ ksi ki ksi say mohabbat or uska inteqaam , ye dharnay Pakistan may logon ki mohabbat or khuloos ka mazaaq , ye talaaqen , bevafaian ............sab isliyay keh ham nay mohabbat karnay kay liyay insaanon ko choose kiya.....Allah ko nahi ........Aye Allah martay dam tak mayray dil may Apni or Apnay mehboobeen ki sachi vafa kay siva har jazbay or muraad say mujhey Apni Panah ata farma. Ameeen ........... may bhar paai insaanii mohabbaton ki tabahkaarian sehtay sehtay. Allah mujh ko issay hamesha kay liyay maaf kar day. Ameeen ........ye koi Khuda nahi hay .............ye to maut ka farishta lagti hay par farishta nahi hay ............ye dunya ka sab say khofnaak tareen dhoka hay...toba . Astaghfirullah
Posted on: Fri, 24 Oct 2014 08:14:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015