20th Rajab 1435 AH - Birth anniversary of Hazrat Sakina bint - TopicsExpress



          

20th Rajab 1435 AH - Birth anniversary of Hazrat Sakina bint al-Hussain(as) As Salam o alaikum, 20th of Rajab 1435 AH - birth anniversary of the daughter of Imam Hussain(as) - Hazrat Sakina(as). She was born in 56AH On this occasion of happiness in the house of Ahl-e-Bait(as), I wish to extend my felicitations and greetings to Prophet Mohammad(sawaw), Imam-e-Zamana(as), the Ahl-e-Bait(as) and to all the Momineen and Mominaat. As is customary among the followers of Ahl-e-Bait(as), please recite Ziarat of Bibi Sakina(as) to renew your allegiance to Prophet Mohammad(sawaw) and his Ahl-e-Bait(as). Links to this ziarat is available in the right had side menu. Status of Hazrat Sakina(as) Hazrat Sakina(as) is the daughter who is “Rehmat” in the house of Imam Hussain(as) and she is the daughter whom Imam Hussain(as) asked for especially in his night prayers (namaz-e-shab). Imam Hussain(as) used to love her so much that he always made her sleep upon his chest that is, always kept her close to himself. P.S. Special salutes go to the bravery of the Mujahideen of Hizbollah and Liwa-il- Abbas(as) who are defending the holy shrines of Hazrat Zainab(s.a.) and Hazrat Sakina(as) in Damascus. Let’s all pray for their continued success. Ameen Poetry about Hazrat Sakina(as) Naam hay mera Sakina may hoon bint e Shabbir Qalam e Noor se likhkhi gayi meri taqdeer Meray baba ki zamanay may nahi koi nazeer Wo hain Quran e mubeen aur may un ki tafseer Fakhr is baat pe hay bar sar e seena may hoon Sabr e Sarwar ki angoothi ka nageena may hoon Meray baba hain Hussain aur hain dada Haider Dadi Zehra hain to nama hay shafee e mehshar Bhai Sajjad hain Akbar bhi hain aur hain Asghar Aik Abbas to hain doosray Ammo Shabbar Karbala meri Najafa mera Madina mera Mukhtasar ye hay ke hay naam Sakina mera Fazila may hoon fazeal bhi fazeelat may hoon Hoon karam may kareema bhi karamat may hoon Shah e konain ke baitay ki zaroorat may hoon Aur ziarat meri Shabbir ki baz-at may hoon May bhi bigrri hui taqdeer bana sakti hoon Apni thokar se may murday ko jila sakti hoon Aaj har doar ke zaalim ko mitanay ke liye Zulm ko sabr ki tasweer dikhanay ke liye Nehr se foaj sitamgar ki bhaganay ke liye Umar e Saad ko auqat batanay ke liye Sura e Azm se ik harf e jali laayi hoon Sath Abbas ke may Naad e Ali laayi hoon Bas andheron ko kabhi noor na samjha jaye Bas ham martaba e Toor na samjha jaye Roz e mehshar ko bohat door na samjha jaye Go ke pyasi hoon par majboor na samjha jaye Aik bhi lamha na guzray ke yaheen par aaye May agar chahoon to Kausar bhi zameen par aaye Iltimas-e-dua,
Posted on: Tue, 20 May 2014 10:06:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015