3 Idiots - (Deepak Mallick) SBI P.O. Style: Rancho: - TopicsExpress



          

3 Idiots - (Deepak Mallick) SBI P.O. Style: Rancho: *Smiling* Teacher: Aap muskura kyu rahen hein? Rancho: sir, bachpan se chahtaa tha ki bank me officer ban jaau, aaj P.O. bangayaa hun to bahut majaa aa raha he... Teacher: Zyada maza lene ki zarurat nai hai... Tell me what is the definition of P.O.? Rancho: a.a.a.a.... a bank employee who thinks himself/herself as an officer, but actually not and can sit at any counter to do any sort of work. Teacher: Can you please elaborate? Rancho: Sir... ek direct officer jo apne aap ko officer samajhta he , lekin practically he nahin , aur usko kisi bhi counter me bithaya jaa sakta he koi bhi kaam karwane ke liye , wo P.O. he..... aaj front counter ka clerk absent he, kis ko bithaana he .. P.O. .. clearing ke liye clerk nahin he, kisko bhejnaa he.... P.O,.. 10,000 A/Cs ka KYC nahin he,.P.O business badhaane ke liye Road show karna he.... P.O.,.. life insurance bechna he.. P.O. ... elastic pant jaise har kisi ke kamar me fit hota he, waise hi wo har ek kaam ke liye fit he.. kaam lena he us se, jhutmut ke taarif kar do, he will fill up. allowance aur chutti ke liye aaya he, manaa kardo , he will fill down. ek second me up, ek second me down.. up down.. up down.. Teacher: Shut up! confirmation test me ye likhoge.. up.. down.. up down...!!!! Chatur tum batao, Chatur: a person having at least a graduation, who sailed through a cut throat competition of written ,G.D.and P.I. and selected as a direct officer, high expectation bestowed uopn him/her by bank , and considered that future of the organisation is under his/her stewardship, is a P.O. Teacher: waah.. kya baat he.., Excellent! Rancho: Par sir maine bhi toh wahi bola aasaan shabdo mein.. Teacher: aapko agar aasaan bhasha pasand he, to koi aur post ke liye kyun nahin apply karte..?? Rancho: Par sir dusre posts bhi toh... Teacher: Get out!Rancho: Why sir? Teacher: Seedhe shabdo me bahar jaiye. Rancho goes out and comes back* Teacher: Kya hua? Rancho: Kuch bhul gaya tha sir Teacher: Kya? Rancho: a paper describing the lump sum expenditure of our journey that we incurred due to official exercise of Human Resource Department in anticipation of exposure, experience, knowledge enhancement and enllightment.. Teacher: Kehna kya chahte ho!?!? Rancho: T.A. bill sir! Regional office se sanction ho ke aagaya he. le lun..?? Teacher:toh Seedhe seedhe nahi bol sakte the?! Rancho: Thodi der pehle try kiya tha sir, aapko pasand nahi aaya... .. ha ha ha... Thoko saare P.O. Bhai log like.. Deepak Mallick
Posted on: Sun, 07 Jul 2013 10:33:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015