A heart touching Paragraph taken from the Novel "PEER-e-KAMIL" " - TopicsExpress



          

A heart touching Paragraph taken from the Novel "PEER-e-KAMIL" " Zindagi mein kabhi na kabhi hum us muqam per aa jate hain, jahan sare rishte khatam ho jate hain... wahan sirf hum hote hain aur Allah hota hai,,, Koi Maa Baap, koi behen bhai, koi dost nahin hota. Phir humein pata chalta hai k humare pairon k neeche na tho koi zameen hai na humare sir k ooper koi aasman, bus sirf aik Allah hai jo humein is khala mein bhi thame hue hai,,, Phir pata chalta hai hum zameen per parhi matti k dhair mein aik zaray ya darakht per lage aik pattay se zyada ki wuqat nahin rakhte- Phir pata chalta hai k humare hone ya na hone se sirf humein farq parhta hai,,, Sirf humara kirdaar khatam ho jata hai... Kainat mein koi tabdeeli nahin aati,,, kisi cheez per koi asar nahin parta... Is k baad humari aqal thikane aa jati hai. SRK
Posted on: Tue, 01 Oct 2013 11:23:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015