A poem depicting the real feelings of a mother for her son..by - TopicsExpress



          

A poem depicting the real feelings of a mother for her son..by Parveen shakir. A poem which always brings tears to my eyes... SAFAR AB JITNA BAQI HAI : Bohat sardi hai --- mamma abhi kuch dayr mera hath mat chhore(n)! zmastaa(n) ki hawa se kapkapaata mere seene se laga tu keh raha tha! ziyada din nahi guzre k meri goad ki garmi tujhe aaraam deti thi galay me mere, baahe(n) daal kar tu is tarha sota k aksar sari sari raat meri aik karwat me guzar jaati ! mere daaman ko pakre ghar me titlee ki tarah se ghoomta rehta magar phir jald hi tujh ko parindo(n) or phoolo(n) or phir ham-jholiyo(n) k paas se aesa bulaava aagaya jis ko paa kar meri ungli chura kar tu hujoom-e-rang me khushbu ki surat mil gaya tha phir is k baad khaabo(n) se bhara bastaa liye school ki janib rawaana ho gaya tu jahan phir rang or phir harf or phir hindse or sau tarha k khel tere muntazir the dil lubhaate the tere ustaad mujh se moatabar the dost mujh se khoob-tar the mujhe maloom hain main tujh se peeche reh gaii hun safar ab jitna baqi hain wo bas paspaaii ka hi reh gaya hain teri dunya me ab har pal naye logon ki aamad hain main be-had khaamushi se unki jaghe(n) khaali karte jaa rahi hun tera chehra nikharta ja raha hain me pas-manzar me hoti jaa rahi hun ziyada din na guzre(n) ge mere haatho(n) ki ye dheemi haraarat tujhe kafi nahi hogi koi khush-lams dast-e-yaasmee(n) aa kar gulaabi rang hiddat tere haatho(n) me samo dega mera dil tujh ko kho de ga main baaqi umr tera raasta takti rahun gi main maa(n) hun or meri qismat judaai hain (Parveen Shakir - Famous Pakistani Urdu Poetess) As much as I wanted to I didnt translate it into English. The beauty lies in its language.
Posted on: Wed, 07 May 2014 09:14:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015