▪ AASHURA KA ROZA ▪ ★ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka - TopicsExpress



          

▪ AASHURA KA ROZA ▪ ★ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey Baad Muharram Ka Roza hain… ★ Hadees : Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Rasool Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ney Farmaya, “Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hain Aur Baad Namaz-e- Farz Kay Tahajjud Ki Namaz Hain”. (Sahih Muslim , Vol 3, 2755) ★ Hadees : Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Kay, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kay Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lagey Kay, “Ramadan Kay Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Say Rozey Ki Hain, Toh Aap (Sallallahu-Ala ihi-Wasallam) Nay Farmaya, “Allah tala Ka Mahina Jisey Tum Muharram Kahtey Ho”. Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih) Muharram Ka Roza …. ★ Muharram Ka Roza …. ★ Hadees : Abdullah Bin Abbas(Radiallah u Taala Anhu) Sey Riwayat Hain Kay Jab Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madiney Main Tashreef Laye Toh Yahudiyon Ko Dekha Kay Aashurey Ka Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ney Unn Sey Pucha Ki Kyon Roza Rakhtey Hain, Toh Unhoney Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ney Musa (Alaihi Salaam) Aur Banee Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain, Iski Taazeem Kay Liye, Toh Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Farmaya: “Hum Tum Sey ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Kay, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ney Iss (10 Muharram) Rozey Ka.” [Sahih-Muslim, Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656] ★ Muharram Main Aashura Ka Roza …… 9 Aur 10 Muharram Dono Din Roza Rakhey Aur Agar Na Ho Sakey 9 ka roza, tou 10 aur 11 ka roza rakhey......!!! Allah tala kahney sunney sey ziyada aamal karney ki toufeeq aata farmaye Aameen sum aameen ya rabbal aalameen ★FORWARD TO ALL MUSLIMS★ ★ JAZAAKALLAHU KHAIR ★
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 04:28:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015