AGAR NABI-WALI SE MADAD MANGNA SHIRK HAI,TO YE SHIRK AAKHIRAT TAK - TopicsExpress



          

AGAR NABI-WALI SE MADAD MANGNA SHIRK HAI,TO YE SHIRK AAKHIRAT TAK CHALEGA. YE NAHI HO SAKTA KE ABHI SHIRK HAI LEKIN AAKHIRAT ME AYNE TAUHID HO JAAYE, KYUN KE SHIRK TO HAR WAQT SHIRK HI RAHEGA. AAKHIRAT ME BHI KOI GAIRULLAH SE MADAD MAANGEGA TO BHI SHIRK HI HOGA. MEHSHAR KI MUSHIBAT SE BADH KAR KOUNSI MUSHIBAT HOGI ! US SE BACHANE KE LIYE TAMAAM LOG AADAM ALAIHISSALAN KI KHIDMAT ME AAYENGE KE AAP ABOOL BASHAR AADAM HO, AAP HAMARI SHAFAA’AT KARO ! AADAM ALAIHISSALAM YE NAHI FARMAEGE KE TUM SHIRK KAR RAHE HO ! MERE PAAS KYA MAANGTE HO ?!JAAO KHUDA KE PAAS !NAHIN ,BALKE WOH BHI GAIR KI RAAH DIKHAYENGE AUR FARMAAENGE ,NAFSI NAFSI IZAHABOO ILAA GAIRI…… TO FIR TUMHAARI FATWE KI ROOE TO (MA’AZALLAH !) HAZRAT AADAM ALAIHISSALAM BHI MUSHRIK HUYE, AUR UNKE PAAS JAANE WAALE BHI MUSHRIK HUYE. LEKIN NAHIN !KYUN KE HAZRAT AADAMALAIHISSAL AM TO MUSHRIK HO HI NAHIN SAKTE.FIR TAMAAM LOG HAZRAT AADAM ALAIHISSALAM KI REHNUMAAI SE BAARI BAARI HAZRAT NOOH ALAI SALAM, HAZRAT IBRAHIM ALAI SALAM, HAZRAT MOOSA ALAI SALAM AUR AAKHIR ME HAZRAT ISAA ALAIHI MUSSALAM KE PAAS JAAENGE ,HAR EK AISA HI KAHEGE KE IZAHABOO ILAA GAIRI. AB UNHE KHYAAL AAYEGA KE CHALO HUZOOR POOR NOOR, SHAAFE-E-YOUMUN NUSUR, SAIYADUL MURSALIN, REHMATULIL AALAMIN, SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM KI BARGAH-E-BEKAS PANAH ME JAATE HAI. JAB WAHA PAHUNCHENGE TO MADNI TAAJDAAR AMBIYA KE SARDAAR ABD KARAARMEHBOOB-E -PARWARDIGAAR NABION KE SAALAAR DINO DUNIYA KE MUKHTAAR AHMAD-E-MUJTABA MUHAMMAD MUSTAFA SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM AISA NAHI KAHEGE KE,TUM TO MUSHRIK HO !FULA FULA NABI KE PAAS GAYE BAAD ME MERE PAAS AAYE HO !JAAON !KHUDA KE PAAS !BALKE FARMAENGE KE HAZRAT AADAM,HAZRAT NOOH,HAZRAT IBRAHIM,HAZRAT MOOSA AUR HAZRAT ISAAALAIHIMUSSA LAMU NE NAFSI NAFSI IZAHABOO ILAA GAYRI IS LIYE KAHA THAA KE MERE TAK PAHUNCH JAAON.AUR IS KAAM KE LIYE TO MEIN HI HOON,KYUN KE ALLAH TA’ALA NE MUJHE HI YE MARTABA ATA FARMAAYA HAIN. SUB’HANALLAH ! -[SAHIH AL-BUKHARI, VOL.-04, PAGE-1748, HADITH-4441.SAH IH AL-BUKHARI, VOL.-02, PAGE-536, HADITH-1405.SUN AN AN-NASAI, VOL.-06, PAGE-381, HADITH-295.SUNA N IBN MAAJA, VOL.-02, PAGE-871, HADITH-927.SUNA N IBN MAAJA, VOL.-02, PAGE-854, HADITH-884.AT-T ABARANI MU’JAM AL-AWSAT, VOL.-08, PAGE-30, HADITH-8725.BAY HAQI SHUAB-UL-IMAAN , VOL.-03 PAGE-269 HADITH-3509.DAY LAMI MUSNAD AL-FIRDAUS, VOL-02, PAGE-377, HADITH-3677.AL- HAYTHAMI MAJMA’ AZ-ZAWAID, VOL-10, PAGE-371. AB YE BAD AQEEDA KYA KAHEGA KYA IN TAMAM NABIYO KO BHI MUSHRIK KAH SAKTA HAI MA’AZ ALLAH ALLAH IN TAMAM BAD AQEEDO KO SAHI HADEES SAMAJHNE KI TAUFEEK ATA FARMAYE AMEEN
Posted on: Fri, 22 Nov 2013 13:14:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015