AP SB PY ALLAH KI REHMAT HO. (TRAVEEH KA BAYYAAN).traveeh - TopicsExpress



          

AP SB PY ALLAH KI REHMAT HO. (TRAVEEH KA BAYYAAN).traveeh mardo-o-aurat sb k liye bil-ijmaa sunnat-e-muaakda h .is ka tark jaaiz nahi.is pr khulofaa-e-rasheedeen ny madaavat faRmaai aur nabi-e-pak ka irshaad h"meri sunnat aur sunnat-e- khulufa-e-rashideen ko apny oper lazim samjho".Aur khud bhi hazoor nabi-e-pak ny traveeh parhi aur psnd farmaya.phir is andaishy sy k ummat pr farz na ho jay,ap ny tark farmaai.Hazrat UMAR FAROOQ9R.A) ramzan m aik raat masjid m tashreef ly gay aur logon ko mutfarrik taur py namaz parhty paya,koi tanhaa parh raha h to ksi k sath kuch log parh rhein hain.Ap ny farmaya mai munasib janta hon k in sb ko aik imam k sath jamaa kr don,to behtar ho.to sb ko aik imam,ubbai-bin-kaab,k sath ikatha kr dia ,phr dosry din tashreef ly gay,mulahaza farmaya k log apny imam k peechy namaz parhty hain,farmaya yeh achi bidaat h.Jamhoor ka mazhab yeh h k traaveeh ki raakatein 20 hain,aur yeh hi ahaadees sy sabit h.Hazrat saaib bin yazeeb(r.a) se rivayat h k loog Hazrat Umar (R.A) k zamaany m 20 rakaatein parhaa karty thy.(aur hazrat Ali (r.a) farmaaty hain"ALLAH MERY SAALEH BHAAI HAZRAT UMAR K DRAAJAT KO BULAND FARMAAY JIS NY MASJIDON KO ABAAD KIA". (BAHAAR-E-SHRIAT,JILD NO 1,PAGE 688).MANJANIB CHARIMAN ALL PAKISTAN DASTGEERI WELFARE ORGANISATION.NAMAZ QAYAM KRO IS SE PEHLY K TUMHAARI NAMAZ PARHAA DI JAAY.INQLAAB-E-MOHABBAT ZINDABAD,PAKISTAN PAAINDABAD.
Posted on: Tue, 16 Jul 2013 13:42:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015