Abhi Is traaf na Nigah kar, Main Ghazal ki Palken sanwar - TopicsExpress



          

Abhi Is traaf na Nigah kar, Main Ghazal ki Palken sanwar lun,, Mera lafz lafz ho Aaina, Tujhe Aainy me utar lun,, Main tamam Din ka thaka hua, Tu tamam shab ka jaga hua ,, Zara thehr ja isi Mor pr, Tery sath Shaam guzaar lun ,, Agar Aasma’n ki Numaishon me, Mujhe b Izn-e-Qayam ho ,, To Main motiyon ki dukaan se, Teri baliyan, Tery haar lun ,, Kayi Ajnabi teri Raah k, Mery paas se yun Guzar gaye ,, Jinhe dekh kr ye tarap hui, Tera Naam le kr Pukaar lun… #vishal
Posted on: Tue, 08 Oct 2013 06:28:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015