Assalamu alaikum wr wb munkeer e hadees(Firka ahle quran ek - TopicsExpress



          

Assalamu alaikum wr wb munkeer e hadees(Firka ahle quran ek gumraah firka) Firka e ahle quran ek aisa firka hai jinka ye aqida hai ke jo kuch bhi deen e islam hai woh mukammal quran mein hai aur ye hadeeson ka sirre se inkaar karte hai kehte hai ke hadeesien shaitan ke taraf se hai dalalat hai gumraahi hai(nauzbillahimin zalik)jab ke asal deen quran aur hadees dono hi hai dono ki haisiyat islam mein ek jaisi hai fark sirf itna hai ke Quran wahi e matloo hai aur hadees wahi e gair matloo hai Quran ki tilawat ki jaati hai aur hadeeson ki tilawat nahi ki jaati isse badhkar aur koi fark nahi hai Hadees e nabawi quran ki tafseer hai bagair hadeeson ke quran ko nahi samjha ja sakta Quran agar practical hai to nabi salllallahu aleyhi wasallam ki zindagi theory hai Farmaan e ilaahi hai ketum log us chez ki itteba karo jo tumhaare rabki taraf se aayi hai(yaane wahi)aur Allah taala ko chhod kar apne mangharat sarparaston ki itteba mat karo tum log kamhi nasihat pakadte hosureh Aaraf ayat#3 Aur ek sahi hadees mein Allah ke nabi sallallahu aleyhi wasallam ne farmaya ke main tumhaare darmiyan 2 chezein de kar bheja gaya hun kitabullah aur meri sunnat agar inko mazbooti ke saath pakdonge to hargiz gumraah na honge sabit hua ke jahan quran makhuz e shariah hai wahi nabi ki hadeesein bhi makhuz e shariah hai nabi kareem ne quran aur sunnat ko sath zikr karke kaha ke hargiz gu raah nahi honge iska matlab ye hua ke agar koi indono mein se ek ko chhodta hai to woh gumraah ho jaata hai aur yahi haal Parvezi firka Ahle quran ka hai Sureh nisaa ki ayat#59 mein farmata hai ke Ai eman walo itaat karo Allah ki aur itaat karo RasoolAllah ki aur tum mein se ikhtiyar walon ki,phir agar kisi chez mein ikhtilaaf karo to use latao Allah ki taraf(yaane quran)aur rasool ki taraf(yaane sunnat e nabawi ki taraf)agar tumhe Allah taala aur qayamat ke din par emaan hai ye bohot behtar hai aur ba-aitbar anjamke bohot accha hai Aur sureh najm ki ayat#3 aur 4 mein Allah taala khud is baat ki guarantee lete hai ke mera nabi apni khwahish se koi baat nahi karta balke nabi ki saari zindagi wahi e ilaahi par munhasar hai nabi ka khana khana nabi ka pani peena nabi ka uthna baithna nabi ka chalna nabi ka sona nabi ka shadiyan karna Algaraz nabi ki saari zindagi hamare liye ideal hai aur yahi baat Allah subhanahu taala ne bhi apne qalam mein sureh ahzaab ayat#21 mein kahi haiyakeenan tumhaare liye RasoolAllah mein umda namuna maujood hai Tirmezi ki hadees hai ke jab muaz bin jabal ko yemen ki taraf nabi kareem ne rawana kiya to kaha ke Ai muaz tum ek Aisi qaum ki taraf ja rahe ho jo ahle kitab hai agar tumhe koi masla pesh aaye aur tumhe koi faisla karna padhe to kaise karonge kaha ke Quran se RasoolAllah ne kaha ke agar Quran mein us masle ko na pao to phir kaise karonge kaha ke hadees se sabit hua ke ismein koi shak nahi ke Quran ek mukammal kitab hai magar hadees bhi makhuz e shariah hai inhi 2 chezon par salaf salaheen ka bhi amal tha kisi shaksh ne Ali bin talib se pucha ke kya tumhaare pas Quran ke alawa bhi wahi ka kuch hissa hai Hz Ali ne kuch sahife jo unke paas hadeeson ki shakal mein maujood the nikal kar kaha ke ye bhi wahi e ilaahi hai Aaj Fb par aur duniya bhar mein ek Aisa firka kaam kar raha hai jo apne aap ko Ahle quran kehta hai aur logon ko gumraahi ki taraf dawat de raha hai dar haqeeqat hadees ka inkaari nabuwat o risalat ka inkaari hai inhe kisne bataya ke Quran Allah ki taraf se naazil kiya gaya hai is tarah to quran mein bhi shak pad jaata hai Quran mein Allah Taala ne farmaya ke 5 waqtta namaz padho kis tarah?nahi bataya gaya ye Aapko hadees mein milenga Fajr mein 2 farzkyun? Zohar mein 4 farz kyun? Asar mein4 farz kyun? Magrib mein 3farz kyun? Aur isha mein 4 farz kyun? Kyun hum fajar mein 4 aur zohar mein 2 kyun nahi padh sakte? Quran mein to iska zikr aya hai phir Quran mein namaz e janazah ka bhi to nahi aya hai nama ka masla,roze ka masla,haj ka masla,zakat ka masla tijarat ho ya karobaar ho shadi ho ya talaq ho muashirat ho ya ko aur masla har masla bagair hadeeson ke pura nahi hota mukhtasar si baat ye hai ke Quran agar practical hai to hadees theory hai ye 2no lazim o malzom hai hadees ka inkaari kaafir hai aur woh daire islam se nikal jaata hai isliye doston mera kaam aagah karna tha woh maine kardiya Allah hume Aise batil firkon se bachaye Aameen ya rabbul Alameen hum ne is zikr ko nazil kiya hai aur humhi iski hifazat karne wale haiSureh hijr ayat#9 Wa salllallahu aleyhi wasallam wala Aalehi wa ashabehi sallaman tasleeman kasirah
Posted on: Wed, 26 Feb 2014 15:27:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015