Bhaiyon , Ye mere aap pe sab pe Mohammad e Arbi ka ehsan hai k - TopicsExpress



          

Bhaiyon , Ye mere aap pe sab pe Mohammad e Arbi ka ehsan hai k hume bataya k humara malik sirf Allah hai, ,Allah se dosti karlo, Allah se pyar karlo, Allah bhi tum se pyar karta hai, Allah ki qasam tumhari maa tumhe utna pyar nahi de sakti jitna Allah tumhe pyar karta hai,tumhara baap tumhe wo pyar nahi deta jitna Allah deta hai, aur agar maa-baap k nafarman banoge to ghar se nikal diye jaoge, Hum Allah k nafarman ban chuke hai, Allah pukar-pukar k kehta hai mere bande mujhe kyun bhula diya maine to tumhe yaad rakha hua hai,main to tere gunaho ko chupata chala araha hu, kabhi tu bhi mujhse sharam kar le,kabhi tu bhi mujhse haya kar le, tu raat k andhere me burai karta hai sharab pita hai,zina karta hai,chori karta hai,qatl karta hai,music sunta hai,nangi film dekhta hai,kya khayal hai tera k Allah tujhe nahi dekh raha? Allah tujhse door ho gaya? agar mera Allah Raheem na hota Rehman na hota to ye mosiki ki mehfile ye naach gane ki mehfile,aurto ka ghungroo bandh k naachna ye wo amal tha k zameen fat ti aur hum usme sama jate. per hum qurbaan jaye humare Allah pe jo humare sare gunah dekh kar bhi kehta hai k abhi hum intezar kar rahe hai k tum jab bhi tauba karloge hum tumhe gale se laga lenge..
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 12:01:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015