Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May Khane Yahan Saqi - TopicsExpress



          

Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May Khane Yahan Saqi Nahin Payda, Wahan Be-Zauq Hai Sehba Na Iran Main Rahe Baqi, Na Tooran Mein Rahe Baqi Woh Banday Faqr Tha Jin Ka Halaak-e-Qaisar-o-Kasra Yehi Sheikh-e-Haram Hai Jo Chura Kar Baich Khata Hai Galeem-e-Bu Zar (R.A.)-o-Dalaq-e- Awais (R.A)-o-Chadar-e-Zahra (R.A.) Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat Ki Ye Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa Nida Ayi Ke Ashob-e-Qayamat Se Ye Kya Kam Hai ‘Garaftah Cheeniyan Ahram-o- Makki Khufta Dar Batha’ (Ye Misra Haheem Sanai R.A. Ka Hai) Labalab Shisha’ay Tehzeeb-e- Hazir Hai Ma’ay ‘LA’ Se Magar Saqi Ke Hathon Mein Nahin Paymana’ay ‘ILLAH’ Daba Rakha Hai Uss Ko Zakhmawer Ki Taiz Dasti Ne Bohat Neeche Suron Mein Hai Abhi Yourap Ka Wavela Issi Darya Se Uthti Hai Woh Mouj- e-Tund Joulan Bhi Nehnangon Ke Nasheman Jis Se Hote Hain Teh-o-Bala.
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 03:13:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015