Dawat E Tabligh Ummat Ki Zimmedari * Takkabur Kya Hai ? * ★ - TopicsExpress



          

Dawat E Tabligh Ummat Ki Zimmedari * Takkabur Kya Hai ? * ★ Sawaal : Takkabur Kya Hai ? » Jawaab : Khudko Afzal Aur Dusaro Ko Haqeer Jaanane Ka Naam Takkabur Hai « Al-Quraan : » Aur Yaad Karo Jab Hum (Allah) Ne Farisht’aon Ko Hukm Diya Ki Aadam Ko Sajda Karo Toh Sab Ne Sajda Kiya Siwaaye Iblees Ke, Aur Wo Ghuroor Me Aa Gaya Aur Kaafir Ho Gaya. -: (Al-Bakrah, 34 – Kanzool Imaan) » Takkabur Se Apne Nafs Ki Pakizagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hain Usko Allah Khoob Jaanta Hai. -: (Al-Quraan: Surah Najm, Ayat 32) » Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmaate Hai Ke, “Takabbur Haq Ki Mukhaalifat Aur Logon Ko Haqeer Jaan’ne Ka Naam Hai”. (Sahih Muslim , Kitab-Ul-Imaan , Baab : Tahrim- Ul-Kabir Hadith No-91) ∗ Wo Shaksh Kis Tarha Takabur Kar Sakta Hai, Jo Mitti Se Bana Ho, Mitti Me Milne Wala Ho Aur Mitti Me Keede-Makore Ki Gizah Ban’ne Wala Ho. - Hazrat Abu’bakar(Radhi Allahu Ta’ala Anhu) 3 minutes ago Like · Comment · Share
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 13:18:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015