Dear All, Dosto - Friends Is se pehle mein ne aap logon ko - TopicsExpress



          

Dear All, Dosto - Friends Is se pehle mein ne aap logon ko bataya tha ke Is duniya mein shoru se do forces hain. Aik Insani Taqatain ( Human Forces ) Dusri Shaitani Taqatain ( Evil Forces ) - Aur hum isko Ahle-Haq aur Ahle batil ki ladayee kehte hain. Mein apni pehle post mein likha tha ke Allah ( God ) ne Insano ki rehnumayee ( Guidance ) ke liye Holy Books aur Messengers aur Prophet bhajain. Allah ka maqsad tha ke Insaan behtereen Human Resources banain aur Achche kam karain jo Insaniyat ke bhalayee, Tarraqqi aur tameeri ho. Human Resources Development ka kam shoru se ho raha hai. Insaani taqat ko khatam karne ka kam bhi azal se hai, jo shaitani taqtain kar rahi hain. Jo Insani Taqtaian woh Bhalayee ke Kam Good Deeds kar rahi hain. Usi Tarah jo Shaitani Taqtain hain woh Buray kam Evil Deeds kar rahi hain. Insaani Taqaton aur Shaitani Taqaton ki rasakashi shoru se hai. Yeh dono groho ( Groups, Forces ) badi dedicated hain. Apne kam mein badi mehnat, lagan aur justaju se lage huway hain. Aap dekhte hain. Mozzan Subha Azaan de kar Insaano ko bulata hai ke - Aoa - Bhalayee ki taraf - Falah payo. Aayo. Aap dekhte hain ke aap ke papa subha uthkar Namaz waghira padh kar roz Subha office Nikal jate hain. Usi tarah subha chote chote bache school bagss laga kar school jati hain. Aap dekhtain ke subha savera maa jag jati hai. Ghar ko saaf karti hai, apne Bachon aur Shohar ke liye khana banati hai. Un ke kapade dhoti hai. Usi tarah aap dekhte hain ke teacher School mein bachchon ki tarbiyat ko phonch jata hai. Koi apne bodhe maa baap ki khidmat kar raha hai. Koi ladki apne shohar ke bodhe waldain ke khane peene ka khayal rakh rahi hai. Aap yeh dekhte hain ke Mazdoor subha subha khet mein jut jate hain aur din bhar kam karte hain. Yani Har aadmi kama kar raha hai. Kaisay kam kar raha hai achche kam kar raha hai. Yani log subha se lekar rat gaye tak Good Deeds yani achche kam karte hain. Achche Kam ( Good Deeds ) karne se Tarriqi aati hai. Jaisay papa aap ke mehnat karke paisa late hain. Ghar mein khana, peena sakoon ka hota hai - Aap log school jate hain taleem hasil karte hain. Kal taleem hasil karke bade aadmi bante hain. Ghar mein Khushali aati hai. Isi Tarah Kisan anaj ugata hai. Isi tarah teacher bachchon ko padhata hai. Doctor Bimaron ki khidmat karta hai. Yani kam sab tarraqi hota hai. Yehan tak ke Allah SWT ki tamam makhloqat Is duniya ko sanwarne pe tule hain. Kabhi aam ke, Amrod ke jahd ke bare mein socha hai. In phal ke darakhton se kitne Insaan chain o sukoon ki zindagi guzar rahe hain. Phal lagte hain Mazdoor todte hain. Un ko paisa milta hai. Jo Gadi un phalon ko lekar sher jati hai un ko paisa milta hai, is tarah yeh phal phalon ki mandi mein bikta hai. Jo bechta hai us ko paisa milta hai. Phir jo whole seller kharidata hai woh market mein rakhta hai. Woh jis jaga farokht karta hai us jaga ka kiraya deta hai. Phir us se Retail bechne wale Khareed ke lejate hain. woh Apni bandiyon per laga kar bechte hain. Us se un ko fayeda hota aamdani hoti hai. Hum khareed ke phal khate hain is se hum ko Tandrusti milti hai. Aap ne dekha aik phal se kitne Ghar ke choleh jalte hain, kitne gharon ke bachche school jate hain, Isi tarah kitne kamzor log in ko khane se taqat aur tawanayee hasil karte hain. Jab un ko taqt aat hai Energy milti phir woh kam karte hain aur paisa kamate hain. Yani Allah SWT ne Insano ki Development aur growth ke liye kiya kya nahi kiya. Gaye, Bhaines doodh deti hain. Murghiyan anda deti hain. In sab ki wohi kahani hai. yeh sab achche kam ( Good Deeds ) karte hain aur Insaniyat ki bhalayee ke liye kam karte hain. Isliye har Insaan per farz hai ke woh Insaniyat ke bhalayee, Taraqqi, tameer, progress aur healthy society ke liye Achche Kam ( Naik Amal, Amalo Saleh , Good Deeds ) karain. Yeh to kam the Insaani Taqaton ( Human Forces ) ke. Ab Shaitaini Taqaton ke kam dekhiye. Sharab ki dukan wala waqt per kholta hai, safayee suthrayee karta hai. Woh janta hai ke yeh Insaniyat ke liye Insaano ke liye muzir hai. Phir bhi bhejta hai. Yani woh Zahni taur per corrupt ( Fuhsha ) hai. Isi tarah cigarette bechne wali company cigarette bana rahai bech rahi. Un ko pata hai ke yeh kharab hai. Cigrette ki dibbay per bhi likha hota hai yeh Sahet ke liye muzir hai. Banane wale bana rahe hain aur bechne wale bech rahe hain. Osi Tarah Ghutka. Is per baqaida - Biccho - utara jata hai logon ko darane ke liye. Aaap ne dekha hoga kaiyee log achche khasay hote hain. Lekin yeh jab Sharab ke nashe ke aadi hojate hain to apni sari kamayee Sharab peene mein uda dete hain. Sharab peene ke bad apni biwi, bachon ko marte hain, gali galoch karte hain. Apne aap ko aur dusron ko zaleel karte hain. Wohi drug peene walon ka hai. Is se Ghar ujad jate hain. Gharon mein faqay hote hain, bachche school nahi jate yani. Is buri aadat ki wajah se ghar tabah hojate hain. Development ( Tarriqqi ) kam rok jata hai. Bachche ko sahi taleem na milne se woh ghareeb aur Jahil hote hain. Yani Insaan ki jo tarriqqi ke sare kam ruk jate hain. Yeh sab kam hum jaisay Insaan karte hain. Lekin in per Shaitan hawi hojata hai. Yeh sab kuch jante hain ke in ke buray kam ki wajah se sab tabah kari hai. Lekin yeh log Akhlaqi aur Zehni taur per corrupt ( Jisko hum Fuhsha ) kehte hain hote hain. In ki wajah se Moshare girwat aati hai. Tarriqqi ruk jati hai. Hamare wasayel tabah aur barbad ho jate hain. Yani Shaitani Taqtain Buray ( Evil ) kam karte hain. Yani Insaani Taqtain ( Human Forces ) - Achche Kam ( Good Deeds ) karti hain Jis se Duniya mein Tarriqqi ( Development ) Tameri ( Constructive ) kam hote hain, Jis Duniya mein, Progress, Growth aur Peace Qaim hoti hai. Log Har cheeze ke saath adal ( Justice ) karte hain. Jo Achche log hote hain woh masawat ( Equality ) Qaim karte hain. Aur Allah SWT ka mansha yehi ke Insaan achche kam ( Good Deeds ) kare. Aur yeh Muslmano per yeh Faraz Ayen hai. Kiyon ke Allah SWT ne un ko Choose ( Pasand ) kiya aur muntaqab ( Appoint ) kiya hai ke woh - Achche kam ( Good Deeds ) ko yes bolain - Buray kam ( Evil Deeds ) ko no Bolain. Yan khud achche kam karain ( Do Good ) aur Achche Kam ke liye Moasherey mein tabdeeli layain ( Change for Good ). Shaitani Taqatain woh hain jo duniya mein tabahi lana chahti hain. Jo Development aur Constructive kam ko rokti hain. Jo insaano ki tarrriqi ki dushman hai aur un destroy karna chahti hai. Insaani Taqtain Dushmann hain Insaniyat ki. Ab aap Faisala karain aap kin taqtaton ke saath hain - Kiya aap Insaani Taqtaon ( Human Forces ) ke saath hai? Ya Shaitani ( Satanic Forces ) ke Sath hain. Sochain aap kaun hain aur kis ke saath hain ?
Posted on: Fri, 28 Feb 2014 00:07:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015