Eesal E Sawab- Fatiha Khwani- Fatiha Ka Tareeqa07/10/2012بسم - TopicsExpress



          

Eesal E Sawab- Fatiha Khwani- Fatiha Ka Tareeqa07/10/2012بسم الله الرحمن الرحيمBazm E Shahzada E Aala Hazrat ﺭﺣﻤﺖاللہتعالیٰﻋﻠﯿﮧEesal E Sawaab Aur Fatiha Quani:Jo Log duniya se guzar chuke hain, Unke Naam pe sadqa o Qairaat Karke Uska Sawaab Unhe Pohanchana Bila-Shuba Jayez Aur Ahadees Se Saabit hai. Jo khaane peene ki cheez Khairaat Ki Jaye Usko saamne rakh kar bhi kaha Jatahai ke Uska sawaab fulan ko Pohanche, Aur saamne na rakha jaye yun hi uski rooh ko Sawaab pohanchane ki Neeyat Se Sadqa KarDiya Jaye, Dono Tarah Jaiz O Mustahsan Hai.Hadees No.(1)Hazrath Ayesha Siddiqua (رضی اللہتعالیٰ عنہ)se Marvvi hai ki Ek Sahab RASOOL ALLAH (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) ki Qidmat me Haazir Hue aur arz kiya Ya RASOOL ALLAH (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) Meri Maa Ka achanak Inteqaal Hogaya hai aur koi Vasihat na kar saki, Mai samajhta hoon agar usko bolne ka mouqa milta to zaroor Sadqa karti , To agar mai uski taraf se sadqa karoon to usko sawaab milega?Farmaya: Haan MilegaMuslim, Jild:1 , Baab Wasul Sawab As Saqda An Al MaitHadees No.(2)عن سعد بن عبارہ قال یا رسول اللہ انام سعد قد ماتت فای الصدقتہ افضل قال الماء و حفر بئرا و قال ھذہ لام سعدHazrath Saad Bin Ibadata se marvi hai ki unhone arz kiya Ya RASOOL ALLAH (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) Sa’ad Ki Maa ka inteqaal hogaya hai to kaunsa saqda behatarhai , Huzoor (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) ne farmaya Paani afzal hai to unhone ek kuwaan khudwayaaur farmaya Kuwan meri ke liye hai.Yeh Hadees Abu Dawood o Nasai me hai. ashkoot Baab Fazal Us Saqda ص 169Kyunki Hazrath Saad ne Kuwae kesaamne khade hokar ye farmaya ki meri maa keliye hai lehaza khaane peene ki cheez jo sadqa ki jaye uskosaamne rakh kar ye kehna ke iska sawaab fulaa ko puhanche ye hargizQilaaf E Shara Nahi Balke Sahabae RASOOL (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) Ka Tariqa hai.Tanbiya:Afzal sadqa wo hai jis ki zarurath zyada ho Kyunki Arab me paani ki qillat ke pesh e Nazar Iski zaroorat saqt rehti thi Lihaza Huzoor (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) ne pani ko afzal sadqa farmaya.Tafseer E Rooh Ul Bayaan ne Paara no.7 Surah Al-Anaam Zeir Ayat(VA HAZA KITAAB ANZALNAHA MUBARAK) me hai. Hazrath Aa’raj se Muravi hai ki jo shaqs Quraan Khatm karke phir dua mange to uski dua par chaar hazaar farishte aameen kehte hai. Phir is ke liye dua karte rehte hain.Aur maghfirat maangte rehte hain. Subha ya Shaam tak, yahi mazmoon Nodi ki kitaab “Kitaab Al Azkaar” “Kitaab Tilawat Quraan” me bhi hai. Maloom hua ki Khatm E Quraan ke waqt Dua qubool hoti hai aur Eesal E Sawaab Bhi Dua hai. Lihaza us waqt Khatam Padhna Behtar hai.Ab Aaiyey Muqalifeen Maslann Deobandi,Wahabi, Tableeghi Jama’at ke Peshwa Maulvi Mohammed Qasim Sahab bani Madarsa Deoband Tehzeer An NaasSafha- 24 par farmate hai“Junaid Ke Kisi Mureed ka rang Ekaek Mutgheer Hogaya Aap ne sabab poocha to Baroe Makashifa is ne ye kaha ke apni maa ko dozaq me dekhta hoon.Hazrath Junaid Ne Ek Lakh Paanch Hazaar baar Kalima Padha tha.Yun samajhkar ke baaz riwayaat me is qadar kalime ke sawab par wada maghfirat hai, Aap ne Jee hi Jee me us mureed ki maa ko baqsh diya aur Ittela na di,Baqshte hai kya dekhte hain ke wo jawaan Hushash Bashaash hai, Aapne sabab poocha usne arz kiya Ke apni Maa ko Jannat me dekhta hoon.Aapne is par ye farmaya is jawaan ke mukashifa ki sehat to mujhko Hadees se maloom hui aur Hadees Ta-Sahih is ka mukashifa se hui.Is Ibarat se maloom hua ki Kalima E Tayyiba Ek lakh Paanch Hazaar baqshne se Murde ki baqshish ki umeed hai.Wah re Deobandiyo Apna molvi baqshe to sawab pohanche aur Ahle Sunnat baqshe to Bid’at ka fatwa chipke…Kya insaaf Hai..!Bad-Mazhabo Ka EteraazFatiha wagaira me hindu se mushabihat hai ki wo bhi saamne rakhkar pooja karte hain,tum bhi saamne rakhkar Fatiha padhte ho.Aur Hadees me jo kisi qaum ki mushabihat kare wo unme se hai,Lihaza ye Fatiha man’a hai.Al-Jawaab: Kuffar se har mushabihat mana nahi balke buri batoon me mushabihat mana hai.Phir yeh bhi zaroori hai ke wo kaam aisa ho jo ke kuffar ke deeni ya qaumi alamat ban chuka hai jisko dekhkar log isko kafir qaum kaaadmi samjhe jaise ke dhoti, choti, zinar, hat wagaira , warna ham bhi Aab E Zam Zam Makka E Muazzima se laate hain,Hindu bhi ganga se ganga jal late hain. Ham bhi muh sekhaate hai aur paaon se chalte hain aur kuffar bhi.HUZOOR (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) ne Aashurah Ke Rozah ka hukm diya tha. Halanke Us mushabihat yahoodi thi. Phir farmaya ki acha hum do roze rakehinge. Kuch farq kardiya magarisko band na kiya.Isi tarah hamare yahan Kalima E Quraan padha jata hai, mushrikeen ke yahan yeh nahi hota. Phir mushabihat kahan rahi. Iski behas shaami Baab Makru baatAssalawat me dekho.Haan, Jo kaam mushabihat kuffar ki neeyat se ki jaye wo mana hai. Deobandi abtak mushabihat na samajh saka to Mazhab E Islam Kya samjhega.Fatiha Ka Aasaan Tariqa:Pehle Teen Ya panch ya Saat baar Durood E Shareef padhein, phir kamse kam chaaro Qul, Surah E Fatiha aur Aleef Laam Meem se Muflihoon (Surah Al Baqrah 1st Ruku) tak padhein. Phir aakhri me teen ya paanch ya saat baar DuroodE Shareef Padhein.Aur Bargaah E Elahi me haath utha kar yun dua karein. Ya ALLAH ! hamne jo kuch durood Shareef padha hai aur Quraan E Majeed Ki aayatein tilawatki hain inka sawaab (Agar Khaana aur Sheerni ho to itna aur kahein Ki Is khaane aur Sheerni ka sawab) meri jaanib se Huzoor Sarwar E Kayenat (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلّم) ko nazar pohancha de phir inke waseele se Jumla Anbiya E Kiraam Alihisalam o Sahaba aur tamaam Auliya o Oloma ko ata farma. (Phir agar kisi khaas buzurg ko Eesal E sawaab karna ho to inka Qususiyat se naam lein,Maslann yun kahein ke) Khususann Ghouse EPaak Rahmat Ullah Alaih ko nazar pohancha de,phir Jumla Momineen o Mominaat ki Arowah ko sawab ata farma.Aur kisi aam aadmi ko Eesal E Sawab Karna ho to iska zikr qususiyat se karein, Maslann Yun kahein ke Khusann hamare Waalid, walidah,Ya Dada , Dadi Ya nana,nani ki Rooh ko sawab pohancha de.Aur phir jumla momineen o mominaat ki arowaah ko sawab pohancha de.Aameen Ya Rabbal Aalameen BiRahmatika ya RahamarRahimeen.Zaroori Note: Aap hazraat se guzarish hai ki is risale ko khud bhi padhein aur dusro ko bhi padhne ke liye dein aur Deobandi, Wahabi, ghair Muqalid yani Ahle Hadees aurTableeghi Jama’at se khud b bachein aur apne ahbaab ko bhi bachaein aur apni aulaad ko inki Jama’at se bachaein.Aakhir me ALLAH TA’ALA se dua hai ki woh hum ko aur aapko AHLE SUNNAT WA JAMA’AT par Qayam Rakhein.Ameen.Mas’ala:Aurat bhi fatiha padh sakti hai,Awaam me riwaaj hai hai ke Aurat Fatiha nahi padh sakti ,Ye bilkul galat hai,Be-buniyaadi be asl baat balke aurat ka fatiha padhna bilkul Jaiz hai. MOHD NADEEM
Posted on: Sat, 16 Nov 2013 12:50:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015