Eid ki Sunnatein: 1. Eid ke din ghusl karna chahiye.[ibn - TopicsExpress



          

Eid ki Sunnatein: 1. Eid ke din ghusl karna chahiye.[ibn Majah:316] 2. Achcha libhaz pehanna chahiye.[Silsil a As Sahiha:3/ 274] 3. Khushbo lagana chahiye (sirf Mardo ke liye).[Hakim At-Talkhis:1/ 1431] 4. Eid ki namaz se pehle kuch bhi khana nahi chahiye. 5. Eid ki Namaz, Eidgah hi me adaa karna chahiye.[Bukhar i:956] 6. Agar Baarish wagaira hoto Namaz e Eid Masjid may ada ki jayegi.[Baihaqi ] 7. Eidgah ko paida chal kar jaana chahiye.[ibn Majah:1295] 8. Aurato aur bachchon ko bhi Eidgah le kar jaye, agar aurat haiz me ho toh bhi Eidgah jaana chahiye, lekin wo Namaz ki jagah se door rahe, magar wo Musalmano ki duao me shamil ho sakti hai.[Bukhari:2/ 88] 9. Eidgah jaane aur aane ka raasta badal lena chahiye.[Bukhar i:986] 10. Eid ki Namaz sirf 2 rakat hi hai.[Bukhari:2/ 81] 11. Eid ki Namaz ke liye na iqamat hai aur na hi Azaan hai.[Muslim:887 ] 12. Eid ki 2 rakat Namaz se pehle ya baad me koi nafal Namaz (Tahiyatul wazoo ya Tahiyatul Masjid) nahi hai.[Bukhari:98 9] 13. Eid ki Namaz ke liye na Aqamat aur na Azan. [Muslim:887] 14. Eid ki namaz ka wahi waqt hai jo namaz Ishraq ka hai.[Abu Dawood57] 15. Eid ki Pahli rakat may Qiraat se pahle 7 zayed takbeere aur doosri rakat may Qiraat se pahle 5 zayed takbeere kahe.[Abu Dawood 2:1145,1148] 16. Eid ki Namaz ke baad Khutba dena chahiye.[Bukhar i:2/92] 17. Eid ki Namaz ke liye doosri jamat banana jayaz hai.[Bukhari; Fathul Bari:2/ 475] 18. Eid Mubarak kehne ke liye Sahaba-e-Kraam Radiallahu anhum,Taqabbal Allahu minna wa min kumkehte te(Allaah Humare aur Tumhare (Ibaadate) Qabool Farmaye).[Jamumal Minna:355,Fath UlBari] 19. Namaz ke baad gale milna Sunnat se sabit nahi hai. Ek baar gale milna toh safar se laut ne ke baad ya bahoot dino ke baad kisi bhai se mil ne par gale milna Sunnat se sabit hai, lekin Eid ke din ek baar gale milna tak sabit nahi hai.Plz pray for the Ummah on the day of Eid.. For the unity of the ummah..
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 18:09:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015