Ek baar ki bat hai baba ji maharaj ke pass ek raja mureed ho gya - TopicsExpress



          

Ek baar ki bat hai baba ji maharaj ke pass ek raja mureed ho gya usko ye tha ke jo kuch hota hai wo sab god ki marji se hota hai to fir guru ki kya jrurat,,, bas isi swal ka staya huya baba ji ka mureed ho gya ,,, har bar wo baba ji se puchta ki guru ki kya jrurat hai to baba ji uski bat ko ignore kar dete or kabhi kabhi to keh dete time ane par bata dunga,,, ek bar kya huya baba ji or wo raja kisi jungl ke raste se kisi shehr ko ja rhe the raste mai tej barish hone ke karan kafi undhera ho gya or baba ji se raja ka sath kho gya ab baba ji ki to baba ji jante hai mgr raja ne ek gehre jharh tree ke niche bethna pasand kiya or socha roshni milte ya subha hote hi yha se chala jaunga,, mgr thakawat ke karan pata hi nhi chala ki usse nind kab aa gyi,,,, raja neend mai ek supna dekhta hai ke jese wo bahut greeb sa kisan hai or uske 6 - 7 bache hai or ek greeb sa gaou mai ek kacha ghar hai or bhookh ke karan uski mout ho jati hai or uske bache or uski patni uske pas bethkar ro rahe hai,, bahut hi gumgeen darish hai,, raja ghabrata huya neend se utha or aas pas dekha to subha ho chukki thi,, raja ne ek taraf ek diye jesi roshni dekhi or us taraf chal diya kiyonki use kuch samajh nhi aa rha tha or baba ji ki talash bhi karni thi jab wo roshni ke pas pahunchta hai to aage ek puri basti basi huyi dikhti hai usse thoda sa aram mila ke chalo yaha kuch pani mil jayga to jese hi wo us basti ke taraf gya wo kya dekhta hai ye to whi gaou (village) hai jo supne mai dekha tha wo hairan ho kar charo taraf dekh rha tha usse bahut hairani ho rhi thi ke ye kya ho raha hai,,ab usse or bhi herani huyi jab do bache rote rote uske pas aye or use papa papa kehne lge itne mai uske sare bache or uski bivi bhi aa gyi ye whi orat or bache the jo usne supne mai dekhe the ,, wo bola mai apka pati nhi hu or na hi ye mere bache hai mgr wo orat nhi mani or na hi waha ke sare log ,,, ab wo jaye to kaha jaye wo chilla chilla ke keh rha tha mai to is desh ka raja hu ye to koi or greeb insan hai ye mai nhi hu,,,,to to gaou walo ne kaha ke tu kal rat ko marne ka natak kar raha tha hum to soche tu mar gya hai or hum tumhe dafan bhi kar aye the mgr tu pata nhi fir se kaha se a gya,,,,, raja bahut uljhan mai fas gya or bas baba ji ko yaad kiya itne mai baba ji waha a gye or puchne lage ki kya huya to pata chala ke ye bat hai ke baba ji ye sab mujhe apna bap or ye orat mujhe apna pati keh rahi hai baba ji ne gaou walo ko samjhaya ke ye desh ka raja hai ye greeb insan koi or hai or ager aapne isko dafan kar diya to ye wapis kese a gya ao pehle sab mil kar iski kabar khod kar dekhte hai ke wo lash wha hai ya nhi,,, sab logo ne ja kar dekha to lash wahi par thi to logo ne mafi mangi or raja or baba ji ko jane diya,,, ab baba ji or raja dono apne asharam ki taraf ja rhe the to raja ne jid pakar li ki batao ye sab kya tha fir baba ji ne bataya ke tum aksar puchte the na ke guru ki kya jarurat hai guru ki yhi khasiyat hai insan ke jiwan mein,,,, raja bola babaji mai kuch samjha nhi aap thora wistha se batao ,,, to baba ji ne bataya ke kuch dino ke bad tumhare raj mai kal chane wala hai or sab logo ki trah tum bhi bhukh ke karan mar jate,, or tumhe dafana diya jata ,,, raja bola to kya wo sab sach hai,,, baba ji bole ha wo sab sach tha mgr ye tumhara bahut bhari dukh tha jo mene tumhare supne mai aa kar khatam kar diya,,, akhir kisi ko to tumhare karmo ka hisab dena hi tha ,,,, to raja samajh gya,,,, raja ne aksar satsang mai ek bat suni thi ke suli ka sool ban jata hai ,,, aaj usko ye bat ka ehsas ho gya jab uske khudki suli ka baba ji ki mehr se sool ban gya,, mgr ye sab tab hi mumkin hai jab hum sab baba ji ke ache bache banenge,,,,
Posted on: Sat, 27 Jul 2013 09:15:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015