Ek bachpan ka zamaana tha, Jisme khushiyon Ka khazana - TopicsExpress



          

Ek bachpan ka zamaana tha, Jisme khushiyon Ka khazana tha... Chahat chand ko paane ki thi, Par dil titli ka diwana tha... Khabar na thi kuch subah ki, Na shaam ka thikana tha... Thak-har ke aana school se, Par khelne bhi jana tha... Maa ki kahani thi, Pariyon ka fasana tha... Barish me kagaz ki naav thi, Har mausam suhana tha... Har khel mein saathi the, Har rishta nibhana tha... Gam ki zuban na hothi thi, Na zakhmo ka paimana tha... Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha... Kyon ho gaye hum itne bade, Isse accha tho.... Woh bachpan ka zamaana tha... ~ Let the CHILD in you enjoy freely today... ~NIT~
Posted on: Fri, 15 Nov 2013 17:29:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015