Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana - TopicsExpress



          

Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana tha; . chahat chand ko paane ki thi, par dil titli ka deewana tha. . Khabar na thi kuch subah ki, na shaam ka thikana tha; . thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha. . daadi ki kahani thi, pariyon ka fasana tha; . barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha. . Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha; . gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha. . Rone ki wajah na thi, na hansne ka bahana tha; . kyon ho gaye hum itne bade, isse achha to woh bachpan ka zamana tha... AMAN SHARMA
Posted on: Fri, 25 Oct 2013 11:05:06 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015