Finally - Concluding Blissful moments & Holy Blessings of 3rd Day - TopicsExpress



          

Finally - Concluding Blissful moments & Holy Blessings of 3rd Day 17th November -14 of 67th Annual Nirankari Sant Samagam in Delhi. Summary of His Holiness Nirankari Baba Jis Blessings (67th Sant Nirankari Samagam, Day-3, 17-Nov-14, Delhi)- Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) Aisa anandmayi vataavaran teen dino se bana jo shabdo se bayaan nahi ho sakta. Jaise kehte hain ki ‘kehni ko shobha nahi dekha hi parvaan’. Ye shabd nahi bayaan kar sakte jo sunder roop inn maidaano mein pichle teen din se bana hua hai. Ek-ek pehlu ka mahetv bhi aur ek-ek pehlu ka anand bhi prapt hua. Jaha aap teeno din dopehar se raat tak prernadayak vachan sunte rahe aneko bhashao mein aur asoolo ko abhivyakti di gayi aur sabne anand prapt kiya. 2) Vishaal kms faile maidaano mein, itni sardi mein bhi sabhi, nishtha aur tap-tyag ke saath maryadapurvak tents mein reh rahe hain. Pandaal mein jitne Bhakt hain, uske baahar aur rihaishi tents bhi bhare hue hain aur screens ya loudspeakers dwaara Satsang ko shravan kar rahe hain. Toh ye lagan hai Bhakti waali jiske liye sabhi sthan-sthan se aaye hain. Aise Samagam ke liye bahut tap-tyaag ke roop mein yogdaan rahe hain jiske kaaran ye sunder vatavaran bana hai. Delhi ke Paharganj ki idgaah se Samagamo ka silsila shuru hua, phir Nirankari Colony, phir Ramleela Grounds mein Samagam hue aur phir India Gate ke ground par 1978 mein hua, phir Lal Quila maidaan ke peeche hua aur phir Nirankari Colony ke paas inn maidaano mein aarambh hua. Har baras hi sunder roop mein mahekdaar vaatavaran mehsoos hota hai aur ye mahekta hua vaatavaran Hindustan mein kya poore vishv mein paida ho jaaye. 3) Nafrat aur sankeertaon ki durgandh toh kewal ghutan deti hai. Bhakt hi mahek failaane ka kaam karte hain, aag ko bujha kar sheetalta dete hain, tapte hirdyon ko thandak pradaan karte hain, naam ki bauchhaar karke, nirmal Satta ka bodh kara ke ye jeevan ke saleeke ko pradaan karte hain. Yahi tareeka sabhi Peero aur Paigambro ne bhi diya tha ki humne Jeevan ke safar ko Pyar ke saath tey karna hai aur Pyar ka jahaan abaad karna hai. 4) Sachche dharm ki pehchaan manavta hi hai. The form religion have taken today is definitely not that which Saints and Sages established down the ages. We have started considering rituals as part of religion or religion itself. But Saints established religion of Humanity. Humanity is the only religion. If we start living like true human beings, following the path of righteousness, only then we can be true religious persons and in the true form love the God Almighty. If we have hatred in our hearts, then we are not true lovers of God Almighty. 5) ‘Change for the better’. Sansaar ke roop ko badalne ke liye badlaav aa jaaye. Jitni der badlaav mein lagegi utna hi samay ghutan aur peeda mein beet raha hai. Isliye Bhaktjan ye prarthna karte hain ki Dataar sabko sumati aur jagriti de. Sahi disha milegi toh dasha bhi badal jaayegi. Abhi kangalta ki dasha hai kyunki Human Values ki kami hai, Pyar Namrata Sahensheelta ki kami hai toh yaani ki kangaalta hai. Ameeri aa jaaye, yaani ki naam aur Pyar ki daulat se yukt ho jaayein, andhkaar ujaale mein, nafrat pyar mein, ahem ujala mein aur sankeerta vishalta mein tabdeel ho jaaye. 6) ‘Jiye toh jiye teri duniya mein, ulfat aur mohabbat samjhe nahi’. Vo shayar ka sher ki - ‘Ek umr bhi kam hai mohabbat ke liye, log waqt kaha se nikaalte hain nafrat ke liye’. This whole life span is very less for love, how do people find time to hate others. People are spending time to hate others. Martin Luther King Jr. said – ‘We are living in a time when we have guided missiles but misguided men’. This planet earth has its own uniqueness; on this beautiful earth, people are misguided. May people understand the true meaning of life. Each breath is so precious. We saw that here a team of doctors is working day and night to help others. We breathe many times in a single day. The breath we are taking, the oxygen we are using, is all ‘God’s Grace’ and we should always acknowledge Grace of Almighty. 7) During one of the trip, I visited at very high peak and at one mountain, there was coffee shop and it was very cold outside, there was sign board which somewhat said that- for one minute of oxygen, these many dollars. There were some charges in dollars to take the oxygen provided in a cabin. But it is God’s Grace that He has given us so much oxygen freely. So much God has given us and people are thankless. Ek din mein hazaaro baar hum saans lete hain aur maalik ne humne kitne saans diye par humne in saanso ki kadar nahi ki. 8) Punjabi mein kahavat hai ki – ‘Dooje nu ujaad ke vasya te ki vasya, doojhe nu rula ke hasya te ki hasya’. Phir vo mahel maadi nahi hoti hai, vo khandar hote hain. Bhale hi vo itne karodo ya millions ka hai, keemti se keemti samaan hai, lekin uski keemat khandar hi hai. Hum mritak hi hain agar preet nahi hai, shareer ek khandar hi hai. Doosre ko ujaad kar koi apne jeevan mein ujaala karna chahta hai toh ye vo hargiz vo rasta nahi hai jo Paigambro ne paath padaaya tha, ye manmati hai jiske kaaran insaan khudgarz ban raha hai aur doosro ki laasho par apni rotiyan paka raha hai. 9) Ek kavi ne ek sunder pankti likhi ki- ‘Ye aaj jitney bhi atyachaar hai, ye sabhye aadmi ke avishkar hain’. Jo apne aap ko sabhye aur pragatisheel maane baitha hai, usne kitne avishkar kiye hain nafrat ko badaava dene ke liye aur maarne kaatne ke. Lekin humne mehek sthapit karni hai, hum phool banker ek doosre ko mahek baantate chale jaayein. 10) ‘A bird doesnt sing because it has an answer, it sings because it has a song’. Even if our intellect level is not so high or we are not educated but if we have song of love then we ease out atmosphere all around and we give happiness to others. A bird doesn’t have the qualifications that a human has but it has a sweet song and that matters. 11) Bhakt auro ki soch pehle rakhte hain, nishkaam sewa karte hain aur doosro ki peeda mehsoos karte hain. Sant ka hirdey navneet (maakhan) ke samaan hota hai. Ek maakhan ki tikiya ko aanch lage toh vo pighal jaati hai. Jis tikiya ko sek lagta hai vo pighalti hai. Lekin iske ek kadam aage ki, vaha toh makhan ki tikiya jisko aanch lag rahi hai, vo pighal rahi hai, lekin yahaan Sant, ki aanch kisi aur ko lagti hai, pighal ye jaate hain. ‘Dukh tera ho ki mera ho dukh ki paribhasha ek hai, aanshu tere hon ya mere, aanshuao ki bhasha ek hai’. 12) ‘ Always give without remembering and always receive without forgetting. Ye sajjan pravirti waale hi karte hain aur uske badle kuch nahi chahte. Ye chaahte hain ki Maalik mujhe instrument bana le aur isse kaam le le, mera tan meri vidvata, kaam mein aa jaaye doosron ko raahat dene ke liye. Par ye shakti aur taakat hamein milti hai iss Spirituality aur adhyatmikta ke karan. Iss pramatma se naata jodne ke kaaran. Ek kavi ne sunder prnkti likhi- ‘Panchi udte pankh se main udti bepankh, jab mein Pi ke sang hun to mere pankh asankh’. 13) Pichle do din Rajmata Ji ke yogdaano ko yaad karte hue nikle aur aneko shrada-suman samarpit kiye gaye. Aaj bhi unki den ko yaad ki gaya, hum unse prerna lete rahein yahi prarthna hai, unhi ki shikshaon ka anusaran karte chale jaayein, unki panktiyaan jeevit rahi hain, unhi ke anusaran tatha aachran karein aur bachche-bachche ka satkaar karte hue hum aage se aage badte chale jayein. 14) Kayi Bhaktjan aaj hi rukhsat ho jaynge, toh aisi hi prarthna hai ki Dataar kirpa kare ki aap apne gharon, praanto aur mulko mein loatein, toh jo mahek yahaan prapt ki hai ,usko vahaan apne ilaako mein dete chale jaayein, manavta aur insaaniyat ko majboot karte chale jaayein, Dataar sabhi ko aisi Shakti aur duniyavi sukh bhi pradaan kare, Bhakti bhi saath saath chalti rahe aur paropkar bhi saath-sath chalte rahein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji Sharing Humbly with Hearty Good wishes from all of us here in Tracy-CA-USA...Charandhool Pali Noor Family.
Posted on: Wed, 19 Nov 2014 05:20:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015