For those who are abroad from their country Kya sunayain kis haal - TopicsExpress



          

For those who are abroad from their country Kya sunayain kis haal mein ati hai pardes ki eid, Nikal aate hain aansu jab yad ati hai dess ki eid, Rahain woh khush-o-huram ghar mein apne, Jin ke liye hum ko rulaati hai pardes ki eid, Aate hain yaad jab woh phool se chehre, Us lamhe hum ko kitna tarpati hai pardes ki eid, Kis se galley milain kisey kahain ge apna hum, Bas yu’n hi guzar jati hai pardes ki eid, Kehte hain har bar bas pardes ki hai ye akhri eid, Agley saal phir aa jaati hai pardes ki eid.. ___________________________________ Namaaz Parh Ke Tere Gham Galay Laga Loon Ga Akailay Eid Manaana Meri Sarshat Nahi .---------------------------------------- Iss eid per phir sath hain mere, Doori, tanhai aur baas teri yadain. _____________________________ Na Hath Diya, Na Galay Milay, Na Muyassar Tumhari Deed Hui, Ab Tum Hi Batao Aey Saajan Ye Qayamat Hui ke EiD Hui.
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 19:02:50 +0000

Trending Topics



a>
Los símbolos de Halloween son fáciles de identificar: las
Never give up.. At Breathe baseball, watching my little man Adrian
1. Sheila will inherit everything ________ her uncle’s

Recently Viewed Topics




© 2015