Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai - TopicsExpress



          

Hazrat Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, “Tum Jante Ho Gheebat Kya Hai ??? Logo Ne Kaha, “Allah Aur Uske Rasool Behtar Jante Hain”. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Gheebat Yeh Hai Ke, Tum Apne Bhai Ka Zikr Karo Iss Taur Par Ke Agar Woh Samne Ho Toh Usse Accha Na Lage”. Logo Ne Kaha, “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Agar Uss Me Woh Aib Mojood Ho Toh ?? Aapne Farmaya, “Jabhi Toh Gheebat Hui. Nahi Toh Khuli Tohmat Hogi (Sahih Muslim Jild No. 4, Baab No.1070, Hadees No. 6265) Note : Kisi Imanwale Par Yeh Lazim Nahi Ke Wo Kisi Bhi Imanwale Ki Burayi Kare, Chahe Wo Burayi Usme Moujud Hi Kyu Na Ho, Fir Agar Tum Use Bayan Karo Toh Wo Khuli Tohmat Bhi Hogi. Nadiya
Posted on: Sat, 29 Jun 2013 13:02:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015