Hazrat UMAR (raz.a) farmaya karte they ki Qasqm hai us zaat ki - TopicsExpress



          

Hazrat UMAR (raz.a) farmaya karte they ki Qasqm hai us zaat ki jiske qabze me umar ki jan hai ALLAH TA AALA ne us waqt tak apne nabi ki rooh ko qabz nahin kiya aur na hi WAHI ka ssilsila munqata kiya hai jab tak ki aapki tamam ummat ko RAAI se beparwah nahi kar diya. ( Meezan sharani, S. 51_1) Yani deen to mukanmal ho chuka hai , RAAI aur QAYAS ki zaroorat hi baqi nahin hai, Aur phir allah (swt.) ka farmanbhi maujood hai. ALYAUMA AKMALTU LAKUM DEENAKUM,,,,,,(Quran) HAZRAT UMAR (rz.a) Farmate hain,,,Ki Sunnat wahi hai jise Allah ta aala aur Rasulullah ( sallallahu alaihi wasallam ) ne Sunnat Qatar diya hai, Tum ( logon ki ) ghalat Raai ko ummat ke liye Sunnat na banao. ( Aalamul mauqaeen, S. 54-1) Aur aage farmate hain.... RAAI aur QAYAS karne walon se bacho ki beshak woh Sunnat ke dushman hain, Jab ahadees ko yad karne se aajiz aajate hain to RAAI aur QAYAS se fatwa dena shuru kar dete hain, jis ki wajah se khud bhi gumraah hote hain aur dusron ko bhi gumrahi ke gadhey me phenk dete hain. (Aalamul mauqaeen, S.55-1) Zara ghaur karen ki khaleefah sani kis tarah logon ko taqleed se bachne ka dars
Posted on: Mon, 05 Aug 2013 09:26:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015