Hi, Online relationship is not bad but kisi ke saath love bond - TopicsExpress



          

Hi, Online relationship is not bad but kisi ke saath love bond me band jana, jise aap jaante tak nahi,. Jiska reality aapko pata tak nahi. Aise hi kuch waakiya pesh karne jaa raha hun. Ek ladka akele delhi me rehta tha,Wo akelepan ko door karne ke liye facebook me chat kiya karta tha. Aur facebook me uski dosti ek ladki se ho gayi, Aur wo ladki usi jagah ki thi, Dono me dosti v ho gayi, Uske baad wo dono late night tak chat karte,aur ye sisila itna chala gaya ki us ladke ko us ladki se love ho gaya. wo usi ke baare me sochta aur usi ke sapne dekhta, phir usne usse number maanga, usne number di. aur baat v hone lagi,par wo usse milna chahta tha, par wo usse milna nahi chahti thi, par ye to pura deewana ho gaya tha uska. Aur isi tarah pura ek saal ho gaya. tab us ladke ka sabra tuta phone pe use khub bura bhala kaha, tab us ladki ne us ladke ko milne ki jagah fix ki. Jab wo usse milne gaya to dharti hili,zameen phata. Kyunki uske saame koi aur nahi ek ladka tha , aur wo muskura raha tha, usne usko tokte hue bola kya yaar mujhe to maza aaya tumhe bewkuf banate,wo ladki ki id me main hi tumse chat karta tha. wo ladka samjha nahi usne bola matlab agar tumne mujhe bewkuf banaya to main baat kis ladki se karta tha. us ladke ne bola- meri gf se tum baat karte the, baad me wo ladka itna dukhi hua, ki use kuch samajh nahi aata, Uska dimaag kaam nahi karta. Dheere dheere wo bimaar ho gaya baad me haddiyon ka dhancha ban gaya. To kaisa pyar hua tha is ladke ko. Isliye Doston facebook ya other site ka use friendship ke liye kiya jaye to achcha hai. Kyun thik kaha na. What u say friends.???
Posted on: Mon, 12 Aug 2013 23:51:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015