Hii guys …..Kal Mumbai main dher srai barish hui toh ek achha sa - TopicsExpress



          

Hii guys …..Kal Mumbai main dher srai barish hui toh ek achha sa romantic mood ban gaya tha,toh socah kyu na ek lovestory likhi jaye.Ab yeh meri lovestory hai toh kuch hatke toh hogi hi. I hope yeh story aap logonko pasand aaye or ise like kare nahi pasand aaye toh bhi plz like karna –Aasma Yeh story hai 3 logonki mostly yeh log hume apne daily life me miltehi hai , kabhi kabhi unke chehre unke naam alag haote hai par unka dil ya fir unke emotions is story ke characters ki taraha hi hota hai.Toh is story ka pehla character hai Krishna ya fir Arman .Armaan ek pizza restaurant me pizza chef hai ….is naye jamane ke krishna ki ek Radha bhi hai uska naam Aliya …Aliya or Armaan 10 saal se relationship me hai dono kafi achhi tarahse ek dusre ko jante or pehchante hai . 2 December,Armaan apni pure 1 mahine ki live se aaya uski restaurant me evening shift thi is liye woh kariban 6-6.30 baje aaya tha. Restaurant me kisi 6 saal ki bachhi ki birthday party chal rahi thi or dusre din restaurant ka 2nd branch open hone wala tha is wajah se restaurant ke kitchen me ek sath bohot saare log kaam kar rahe the.Armaan is restaurant ka star employee tha wajah bhi waisi thi pure restaurant me sabse jyada mastikhor or utnahi apne kam me perfect ek wohi tha.Aaj aatehi usne pizza base ka dough banana shuru kiya……dough machine ke aaspaska pura area usne band kiya kyuki use koi disturb na kare …or janab masti karte karte apna kam karne lage. “Are Aasma ghar jana hai ki nahi ?” ,Restaurant ki new manager Shital ne Aasma se kaha . Aasma ya phir Meera restaurant ki new employee use restaurant me join ho kar 15-20 din hue the. “Haa par Amit sir se puch na padega,unhe puch kar aati hu”,Aasma ne jawab diya. “Are koi jarurat nahi Santan sir hi hume Ghatkopar tak chodenge ,chal jaldi sir car me humara intajar kar rahe hai”,Shital. “Thik hai aati hu.”,Aasma Aasma ne jaldise dress change karliya or Shital ke sath car me ja ke baith gayi,waise toh Aasma kabhi ajnabiyonke saath kahi jati nahi par Shital thi isliye woh raaji ho gayi ,or car toh restaurant ki owner Rashmi madam ki thi.Car me aage driver Afjal tha uske side wali sit par santan sir the or piche Aasma or Shital the …..Santan sir or Afjal kisi ke aane ka intajar kar rahe the …..Aasmane socha ‘pata nahi yeh log kis nawab ka intajar kar rahe hai’. Aasma ne car ke window se bahar dekha toh koi aa raha tha ,who aadmi thoda najdik aane par Aasma ko uska chehra dikha woh Armaan tha. ……………..to be continued
Posted on: Sat, 08 Jun 2013 10:21:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015