Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay Ham Jab Os - TopicsExpress



          

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel” Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay
Posted on: Fri, 04 Oct 2013 04:21:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015