Hindustan me Islami Tawarikh - TopicsExpress



          

Hindustan me Islami Tawarikh •• ************************************************************************** Assalato Wasallaamo ‘Alaika Yaa Rasool Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam Wa ‘Alaa Aalika Wa As Haabika Yaa Noor Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam Quran: Beshak Namaz Mo’mino Par Muqarrar Waqt ke Hisab se Farz Hai. [ Surah an-Nisa Aayat -103 ] Quran: Namaz Allah se darne waalo ke siwa sab par bhari hai. [ Part 1, Surat 2 (Baqarah), Ayat 45 ] HUZUR {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne Farmaya: Qayamat Ke din Bande Ke Aamal me sab se pahele NAMAZ ka suwal hoga, Agar Woh Durust Hui To usne Qamyabi Pai Aur Agar usme kami hui to Woh Ruswa Hua Or Usne Nuksan Uthaya [ KANZUL-UMAL JILD:7 SAFA: 115 HADEES: 18883 Darool-kutbul-ilmiya-BAIRUT ] •• Hindustan me Islami Tawarikh •• Hindustan me Islami Tawarikh : (1) Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke elane nabuwwat ke pehle se hi Arab mulko aur Hindustan ke bich tijarat ke ta’alluqat jaari the. Aur Arab taajir (traders) hi 7wi sadi ke dauran Hindustan me deene Islam lekar aaye. ▪▪► Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki hayate zaahiri me Hijrat ke baad Hazrat Malik Bin Deenar radiallahu ta’ala anhu ne Kodungallur, Kerala me Rama Varma Kulashekhara ko sab se pehle musalman banaya. Aur unho ne 7 Hijri (629 A.D.) me hindustan me sab se pehli masjid banai, jo Cheraman Juma Masjid ke naam se mashhoor hai. Malabar ka Mappila samaj (community) ne sab se pehle Islam apnaya. (2) ▪▪► Umayya hukoomat ke dauran Iraq ke governor Hajjaj bin Yousuf ne 92 Hijri (711 A.D.) me Damishk (Damascus) se 2 baar lashkar bhejkar Baluchistan aur Sindh par hamla kiya. Aakhir me 93 Hijri (712 A.D.) me Muhammad bin Qasim ki sardari me Arab lashkar ne Raja Dahir ko harakar Sindh par fateh hasil ki aur phir wo Multan tak pahunche. ▪▪► 392 Hijri (November 1001 A.D.) me Mahmood Ghaznawi ne Peshawar me Raja Jayapal ko haraya aur aur iske baad Hindustan ke dusre ilako me hamle jaari rakhe. 11wi sadi A.D. me Ghazi Sayyed Salar Mas’ood ne Islami hukoomat ko aur failaya. 582 hijri (1186 A.D.) me Shahaab-uddeen Muhammad Ghori ne Lahore jitkar gazni par fateh hasil ki. ▪▪► Shahaab-uddeen Muhammad Ghori ne apne Ghulam Qutub-uddeen Aibak ko Hindustan ka Governor banaya, jisne Delhi saltanat ki shuruat ki. Qutub-uddeen Aibak ne 602 Hijri (1206 A.D.) me ‘Mamluk saltanat’ shuruat ki. Uske baad 689 Hijri (1290 A.D.) me Jalaal-uddeen firoz Khilji ne Khilji saltanat, 721 Hijri (1321 A.D.) me Ghyas-uddeen Tughlaq ne ‘Tughlaq saltanat’, 816 Hijri (1414 A.D.) me Khizr Khan ne ‘Syyed saltnat’, 855 Hijri (1451 A.D.) me Bahlul Khan Lodi ne ‘Lodi saltanat’ ki shuruat ki. ▪▪► Is ke baad 932 Hijri (20 April 1526) ko Paanipat ki jang me Baabar ne Ibrahim Lodi ko harakar Mughal saltanat ki shuruat ki. 1857 A.D. me Aakhri Mughal baadshah Bahadur Shah Jafar ko Angrezo ne Rangoon, Burma me nazar qaid kar diya aur uske 2 bete Mirza Mughal aur Mirza Khizr Sultan aur Pote Mirza Abu Bakr ko qatl kar diya. Is tarah Mughal saltanat khatm hui. ▪▪► Dakkhin me Sultan Alauddeen Hasan Bahman ne 747 Hijri (1347 A.D.) me Bahamani saltanat ki shuruat ki. Us ke baad Malik Ahmed Shah Bahri Nizaam-ul- Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Nizam Shahi (Ahmadnagar) hukoomat, , Fath- ullah Imad-ul-Mulk ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Imad Shahi (Berar) saltanat, Qasim Barid ne 897 Hijri (1492 A.D.) Barid Shahi (Bidar) saltanat, Yusuf Adil Khan ne 895 Hijri (1490 A.D.) me Adil Shahi (Bijapur) hukoomat, Sultan Quli Qutb-ul- Mulk ne 924 Hijri (1518 A.D.) me Qutab Shahi (Golkonda) saltanat ki shuruat ki. ▪▪► Sultan Firoz Shah Tughluq ke governer Zafar Khan Muzaffar Shah ne 793 Hijri [1391 A.D.] me Gujarat me Muzaffari saltanat ki shuruat ki. 980 Hijri [1573 A.D.] me Mughal baadshah Akbar ne Shams-uddeen Muzaffar Shah ko harakar Mughal saltanat me saamil kiya. ▪▪► Iran ke Nadir Shah Durrani ne 1151 Hijri (March 1739 A.D.) me Delhi par hamla karke Mughal baadshah Muhammad Shah ko harakar Delhi par qabza kiya. Is ke baad Ahmad Khan Abdaali Durrani 1174 Hijri (14 January 1761 A.D.) me teesri Jange Paanipat me Maratha ko harakar Punjab aur Delhi par qabza kiya. (3) Sufi silsile : ▪▪► Hazrat Khwaja Moinuddeen Chishti rehmatullahi alaihi (Wiladat 1141 A.D. – 1230 A.D.]) 587 hijri (1190 A.D.) me amn ka paigam lekar Ajmer aaye aur apni karamaat aur husne akhlak aur taaleem se Hindustan me Islam ko mazboot kiya aur failaya aur aap se ‘Chishtiya’ silsila jaari hai. ▪▪► Hazrat Badiuddeen Madaar rehmatullahi alaihi (Wiladat 242 Hijri [856 A.D.] - Wisal 17 Jamadil awwal 837 Hijri [1434 A.D.]) (Makanpur [Uttar Pradesh]) se (818 Hijri ) ‘Madaariyya’ silsila jaari hai. ▪▪► Hazrat Baha-uddeen Zakariya rehmatullahi alaihi (Wiladat [1170 A.D.] – Wisal 665 Hijri [1267 A.D.]) (Multan, Pakistan) se 619 Hijri (1222 A.D.) se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai. ▪▪► Hazrat Sayyed Bandagi Mohammad Gaus Qadri rehmatullahi alaihi se (Wisal 923 Hijri [1517 A.D.]) (Uch, Sindh) se 887 Hijri (1482 A.D.) se ‘Qadri’ silsila jaari hai. ▪▪► Hazrat Khwaja Razi-uddeen Muhammad Baqee Billah (971 Hijri [1563 A.D.] – 25 Jamadi- us-Saani 1012 Hijri [1603 A.D.]) (Delhi) se ‘Naqshbandi’ silsila jaari hai. ▪▪► Hazrat Shaikh Abu Bakr Miskeen sahib rehmatullahi alaihi (Kayalpatnam) Aur Hazrat Shaikh Mir Ahmad Ibraheem rehmatullahi alaihi (Madurai) se ‘Shaziliyya’ silsila jaari hai.
Posted on: Thu, 31 Jul 2014 07:28:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015