∗ Hisab-e-Qayamat Me Aasani Ke 3 Asbab ….. » Hadees : - TopicsExpress



          

∗ Hisab-e-Qayamat Me Aasani Ke 3 Asbab ….. » Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Teen (3) Baatein Jis Shakhs Me Hongi Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Uss Ka Hisab Bohat Aasan Tariqey Se Lega Aur Uss Ko Apni Rehmat Se Jannat Me Dakhil Farmaeyga”. Sahaba-e-Kiram Ne Arz Ki, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Wo Kounsi Baatein Hain?” Aapne Farmaya, » (1). Jo Tumhe Mehroom Kare Tum Usey Ata Karo, » (2). Jo Tum Se Qata-e-Talluq Karey (Yani Talluq Tode) Tum Uss Se Milap Karo. » (3). Jo Tum Par Zulm Karey Tum Usko Muaf Kardo. -: (Al Mu’jam al Awsat, Jild 2, Page 18, Alhadees 5094)
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 13:27:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015