Humare jaisa bewfa koee hosakta hai duniya mein hargiz nahi kiun - TopicsExpress



          

Humare jaisa bewfa koee hosakta hai duniya mein hargiz nahi kiun ke jis nabi (saw) ne humesha humari fikar ki ke mere baad meri ummat ka kya hoga akhirat mein meri ummat ka kya hoga hamesha eesi fikar mein "Ya rabbi ummati" mauat ke waqt bhi meraj mein bhi n akhirat mein qabar se jab uthein ge tab bhi "Ya rabbi ummati" or hum hai kitne begairat kitne nakara kitne bewafa kitne badkar ke aaj tareke humein pasand hai to yahoodiun ke humare ideal hai to salman khan sharukh khan amir khan jin ko hum se koee lagaw nahi woh humare payare n jin ko hum se muhabbat woh praaye kya hum apne nabi ki muhabbat ke dawon mein suchhe hai bilkul nahi kisi allah ke wali ka farman hai ke"Jis ki zindagi mein nabi(saw) ke treeke nahi n woh agar oon se muhabbat ka dawa karta hai woh apne dawe mein jhoota hai". Khali nabi nabi kehne se muhabbat nahi balke zindagi bhi oon ke treekon se mail khati ho"Ki muhammed(saw) se wafa too ne to hum tere hain ,yeh jahan cheez hai kya loh klam tere hai".
Posted on: Mon, 29 Jul 2013 02:17:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015