IPCC exam tension in RANJHANNA syle Bass.. Bass itni hi kahaani - TopicsExpress



          

IPCC exam tension in RANJHANNA syle Bass.. Bass itni hi kahaani thi meri.. ek kitab thi jise maine IPCC bhar chhua nai tha yekuch teachers the jo abhi bhi iss ummeed methe ki shayad launda pass ho jaye. do roomie tha jo pagal tha. Ek aur kitab thi jo course ki nai thi jise mai 3 baar padh chuka tha. mera lappy tha, mobile tha, daru ki bottlen thi, aur ye ek dimag tha jo hamara sath chhod chuka tha, aur ye ek hamara dil tha jisme ab bhi himmat baki thi. hum padh saktethe, parkiske liye, hum fod sakte the par kiske liye. mere dost, hostel, institutes ki galiyan, sab mujhse chhutraha tha, par rakh bhi kiske liye lete. mere dil ki takat ya to mujhe pass kara sakti thi ya meri watt laga sakti thi... par sala ab padhe kaun, kaun fir se mehnat kare xerox karane ko, notes ratane ko. abe koito awaaz deke rok lo, ye faculty jo class me har roz hamari lete rehte hain, aaj bhi agar theek se padhayeto mahadev ki kasam top kar jayen.. parnahi, ab sala mood nai hai, kitab band kar leneme hi sukh hai,notes rakhdene me hi bhalai hai. par uthenge kisi roz, back papers clear karwane ko, IPCC pass hojane ko, garv se CA kehlane ko.
Posted on: Thu, 15 Aug 2013 07:05:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015