Information collect ho chuki he. Ap k liye arz kr don k is waqt - TopicsExpress



          

Information collect ho chuki he. Ap k liye arz kr don k is waqt tak 4 azlaa ne High court Hyderabad men Constitutional Petition Dakhil krdi he jo k female k 20 izafi marks or after advertisement policy 2012 or Bifurcate distribution of seats yani general or science ke naye darame k khilaf hen. Ap Pakistan ki sab se bri commission CSS or PCS ka hawala le sakte hen. In me compulsory subjects ke ilawa optional subjects choice krne hote hen. Or in optional subjects men se hr candidate apni maharat wale subjects choice krta he yani koi general subjects to koi science subjects choice karta he. Lekin kya ap ne kabhi ye suna ya parha he k Commission authorities ne general or science men test dene walon k liye alag alag seats reserve ki hen. nh esa kabhi nh hua q k ye to sab candidates k liye ek equal moqa diye jane ki nishani he. Yani jis ne apna graduation science men kiya he wo science k subjects men ache marks utha sakta he or isi trha general wale ko bhi barabar ka moqa milta he lekin jab commission ki final merit list banti he to wo ek hi combined list hoti he esa koi system nh hota k science wale k liye alag seat or general wale k liye alag seat hon. Ye sirf RSU ka ek naya darama he jis se male candidates ko pechhe dhakela ja rha he. Lekin kya ham isi trha ye na insafi seh lenge. Nh bilkul nh. Ham district nawabshah wale 40 se zaid candidate eid teesre roz High Court Hyderabad men petition file krne ja rhe hen or IN SHA ALLAH kamyabi haq ki hogi. Ap tamam Districts walon se iltija he k ap bhi chup mat bethen jitna jaldi ho sake to apne candidates ko yakja kar k Petition dakhil kren q k jitne ziada azlaa se is zulm k khilaf awaz uthe gi utna hi ziada hamare haqooq ka tahaffuz bhi hoga. Is silsile me agar ap ko kisi madad ki zarurat he to mujh se rabta kar sakte hen. 03322991032
Posted on: Wed, 07 Aug 2013 14:48:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015