JUMA KE EHKAAM - JUMA KA DIN MUSALMANO KE LIYE EID HAI..!! - TopicsExpress



          

JUMA KE EHKAAM - JUMA KA DIN MUSALMANO KE LIYE EID HAI..!! Nahmaduhu wa nusalli alaa rasoolil kareem, amma baad Dear Friends, Assalamualaikum Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa darja rakhta hai. Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh kar milta hai. Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar milta hai. 1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne farmayaJis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain Ek dusri hadees me hain ki Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal phekta hai 2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal DURROD IBRAHIM hai. 3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi padhe. Huzur saw ne farmaya ki Ye namaz jo padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain. Aur JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai. 4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye DUROOD 80 padhega ALLAHUMMA SALLI ALAA MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA to uske 80 saal ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske aamaal-naame me likhi jaegi. 5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne farmaya Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz rahega Ek dusri Hadees me hai ki Jo shakhs JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada DEEN ki mehnat karne wala banaye
Posted on: Fri, 15 Nov 2013 05:33:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015