########## JUME KE DIN KI FAZILAT..########## - TopicsExpress



          

########## JUME KE DIN KI FAZILAT..########## *******Bismillah hir Rehman nir Raheem******* Assalamualikum Warehmatullahi Wabakatahu..... ... .. ALLAH S.W.T. ka hukm jume ke talluq se. ... Aye imaan walo jab jume ke din Namaz ke liye Azan kahi jaya kare to tum ALLAH ki yaad (yani Namaz) ke khudbe ki taraf foran chal diya karo, aur khareed aur bechne aur is tarha ke dusre kamo ko bhi jo tumhare chalne me rukawat hai unhe bhi chodh diya karo yeh tmhare liye behtar hai, fir jab jume ki namaz puri ho chuke to tumko ijazat hai ki tum zameen par chalo firo aur Khuda ki rozi talash karo aur ALLAH ko kasrat se yaad karte raho taki tmko bhalayee hasil ho ..(ALLAH TAALA ne farmaya Sure Juma:9,10). Jume ke mutaliq Rasulullah s.a.w. ka kiya farman hai... Hazrat Abu hurera r.a. kehte hai ki Rasulullah s.a.w. ne farmaya ek jume se lekar dusre jume ke darmiyan insan jitne bhi sagheera gunah karta hai, jume ki namaz se wo sab maaf ho jate hai..( Sahih Muslim:233).... Hazrat Abu saeed khudri r.a. kehte hai ki Nabi kareem s.a.w. ne farmaya ki jume ka ghusl har baligh Aurat wa Mard par wajib hai .( Sahih Bukhari:858).. JUME KE DIN MASJID ME JALDI JANE KI FAZILAT>>>. Hazrat Abu hurera r.a. kehte hai ki Rasulullah s.a.w. ne farmaya jume ka din hota hai to farishte masjid ke darwazo par jama hokar namaziyo ko likhte rehte hai. jo pehle ata hai use pehle aur jo badme ata hai use badme algharrz isi tarha khudba shuru hone tak likhte rehte hai, jab imam khudbe ke liye khadha hojata hai to yeh apne safe tah karke khudba sunne me mashghul hojate hai. sabse pehle ane wale ki misal aisi hai jase unt(camel) khurbani karne wale ki aur uske bad ane wale ki gayae(cow) zibah karne wale ki tarha uske bad ane wala jaise mendha(sheep) zibah karne wala yaha tak ke murgha aur ande ka sadqa dene wale ki tarha nobat ajati hai..(Sahih Muslim:850)... .JUME KE DIN GARDANO KO NA FALANGNE KA HUKM,
Posted on: Thu, 29 Aug 2013 15:45:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015