Kahani mere school ki…….. Ye kahani hai mere gaon kay school - TopicsExpress



          

Kahani mere school ki…….. Ye kahani hai mere gaon kay school ki hai jo distt: dadu sindh k gaon Mado me hai..2001 ka month oct: k per kay din subh jab hum Quran karim ki class lakay waps gahr phunche or ami ne humen nashta (break first ) karwaya or hum nay school jani ki tyari ki, main 3rd class men tha es lye mene sirf kapre change kiye or mera bara bhai jo k 7th men to us ne yellow color ki dress pehni or hum school jane lage to pehli gali men mere bhai ne word book kholi word yad karne k lye tou mene pochha k bhai ab kiya yad karoge? To bhai ne kaha 5 ya 10 words yad hojaenge shayd men sir khan Muhammad k saza se bach jaon jab hum school puhanche tou sare larke larkyan school men mojod the dekhte dekhte 9 baj gae or sir khan Muhammad phuch gae or sare larkyan larke classes men chale gae, ustime 3 teachers school ko chalate the daily 8 subjects ki classes hote the, her chees fully discipline se hote thi, sare bache parhte the , apne dum pe pass hote the kyon kay us time teachers dil se parhate the or student bhe dil se parhte the, position holder ko prize se nawaza jata tha, seminar hote the school men, bachon ko khelne k lye cricket bats, balls, wickets provide kaye jate the, un ki bahr k school se matches karwai jati then or bare baat kay teachers khud khelte the larkon kay sath un ko motivated karte the. School ki ek side men trees, flowers or sabziyan ugaen jati then jin ko dekh kar school or bhi pyara lagta tha. Sir khan Muhammad se bache etna darte the k sare books complete hote the un kay or sara din parhai ki baten karte sunte the. Log apne bachon ko kaam karwane k bajai school chorne ate the ta kay wo education lay saken, dor dor kay gaon se larke, larkyan parhne ate the or bus walebhi us se karya nahe lete the. Jab men 4th class men puhancha tou mujhe yaad hai mere bare bhai ne mujhe kaha beta ready ho ja tera ek saal baqi hai jab sir khan Muhammad se parhoge tou pata chalega kay aprhai kesi ki jati hai. 2004 kay aakhir men humare gaon kay school ko middle se high bana liya giya or sir khan Muhammad ko hata kay un ki jagh 10 or teachers ko higher kiya giya, dekhte dekhte 6 month guzar gae or teachers nay aana kam kar diya yahan tak kay mere 5th class men mere 5th class kay teacher jate the high school walon ko parhane kay laye. 10 teachers jo us wakt 250000 PKR salary lete the per month magr un men sat koe school nahe aata tha teachers ka ye haal dekhte hue humare abu ne humen shehar bhej diya parhai kay laye. School etna tabbah ho gaya kay koe nahe jane laga school ye halat dekh kar 2007 men sir khan Muhammad ko waps bhej diya giya magar us wakt ek high school men 30 student registered the magr ata koe nahe tha jab kay 2001 men use school men approximately 300 student the. Sir khan Muhammad jo humare gaon kay raes ( land lord) bhi hen tou ab wo bhi apne kaamon men basy rehte hen or school bas chalta raha 2010 ki flood kay baad tou mera school banjar ban chukka hai jis men jab hum enter hote the tou naklne ko ji nahe larta tha, aaj bhi use school men 10 to 13 teachers hen magr student un se bhi kam or wo aaj bhi takreban 8 to 10 lac salary lete hen magar na koe aata hi nahi koe unko kehta hai or mere gaon kay bachon ki zindgi tabahi ki tarf ja rahe hai, magar kesi ko koe farq nahe parta aaj jab men apne pyare se school ko dekhta hun tou rona aa jata hai kyon kay men ek student hun kuch nahe kar sakta or nahi meri koe baat sunega es tarh dekhte dekhte mere gaon ka school tabah ho gaya or koe kuch nahe kar saka or mere gaon kay bache bachyan taleem kay nor se mehrom ho gae.
Posted on: Tue, 01 Oct 2013 16:48:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015