Kaho To Laot Jatay Hain Abhi To Baat Lamhoon Tak hai, Saalon - TopicsExpress



          

Kaho To Laot Jatay Hain Abhi To Baat Lamhoon Tak hai, Saalon Tak Nahi Aaii Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi, Naalon Tak Nahi aaii Abhi To Koi Majboori, Khayaalon Tak Nahi aii Abhi To gard pairroon Tak Hai, Baalon Tak nahi aaii Kaho To Laot Jatay Hain Chalo ik Faisala Karnay Shajar Ko aot Chaltay Hain Abhi Kajal Ki Doori, Surkh gaalon Tak Nahi aaii Abhi Daanton Talak hai, Zehar piyaloon tak Nahi aaii Abhi To Mashk-e-Kastoor i, Ghazaalon Tak Nahi aaii Abhi Rodaad e Bay_Unwaan Humaray Dariymaan hai, Duniya Walon Tak nahi Aaii Kaho To Laot Jatay hain Chalo ik Faisala Karnay Shajar Ko aot Jatay hain Abhi Nazdeek Hain ghar Aur Manzil Door Hai Apni Mubda Naar Ho jaye Ye Hasti Noor Hai Apni Kaho To Laot Jatay Hain Chalo ik Faisala Karnay Shajar Ko aot Jatay Hain Ye Rasta Piyaar Ka Rasta Rasn Ka Daar Ka Rasta Bahot Dushwaar Hai Janaan K is Rastay Ka Her Zarra Bhi Kohsaar Hai Janaan Kaho To Laot Jatay Hain Chalo ik Faisala Karnay Shajar Ko aot Jatay Hain Meray Baaray mein Naa Kuch Soocho Mujhay To Saath Tumharay Amrr Honay Ki Hasrat Hai Mujhay Tay Karna aata hai Ye Rasn Ka Daar Ka Rasta Ye Aseeboon Bhara rasta Ye Adhi Ghaar Ka rasta Tumhara Narm-o-Nazuk Haath meray Haath mein Ho To men Ye Samjhoon K Jeisay Do Jahaan Hoon meri Muthi mein Tumhara Qurab Ho To Mushkilein Kafoor Ho Jayein Ye Adhaay aur Kaalay Raastay pur-noor Ho Jayein Tumharay gayssuoo Ko Chaaon mil jaye, To Sooraj sy Ulajhna Baat Hi Kiya Hai Utha Lo Apna Saayah To Meri oqaat Hi Kiya Hai Mujhay Maloom Hai itna K Diyaam-e-Zindag i Posheeda Hai In Chaar Qadmoon mein Bahot C Rahatein Muzmir Hain in Dushwaar Rastoon mein Meray Baaray Na Kuch Soocho Tum apni Baat Batlaoo Kaho To Chaltay Rehtay Hain Tum Apni Baat Batlao Kaho To chaltay Rehtay hain Kaho To Laot Jatay hain
Posted on: Sun, 18 Aug 2013 11:10:31 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015