Khamooshi insan ka dil khamossh kab hota hai ? khawahishat kay - TopicsExpress



          

Khamooshi insan ka dil khamossh kab hota hai ? khawahishat kay khatam hojanay say, khawhishat kay na pooray honay say, har bar ek hi tarah kay insanoo say wabsta honay say, yah jasay jasay zindagi guzarti jati hai insan ka ander yani dil khamoosh hona shoroo ho jata hai , dil ki tamnaian, insan kay khawab tab pooray hon jab un ka intazar khatam ho jayay to dil khamoosh hojata hai, yah halat or mahool yah fiza ki khamooshi say musam kay badalnay say dil khamoosh hojata hai socchoo tu buhat kuch damag kahta hai kay yah baat hai is liayay dil udass hai wo baat hai is liayya dil udass hai lakin hal nahi batata sahi waja nahi batata …. kaya dil har baat ki waja say khamoosh or udass hai … kaya har baat ka asar maray hi dil par ho rahah hai …. nahi nahi asa nahi hai basakoni hai kahin na kahin koi waja hai ….. insan itna khamoosh itna baybas itni lachar zindagi kyun guzar rahah hai ehsas hi nahi hota kisi cheez ka …..hum kahtay hain har ek ko apni hi pari hui hai lakin agar usay apna hi itna khayal hai tu wo khud kyun khush nahi hai khud apnay liyaya tu khush rahay lakin nahi…..khud dil khamosh udas or basakon hai tu dosroo ki khushi ko bhi barbad kar kay un ko bhi khamosh karaya ja rahah hai wo bhi udas parashan hain kay akhir un say kaya galti hui hai sirf yahi kay wo khush hona jantay hain chahtay hain lakin dosray apnay hasad ki waja sya un ko bhi udass kar datay hain…
Posted on: Tue, 24 Sep 2013 17:06:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015